Saturday, April 16, 2011

in haathon se tera sehara bhi saja sakti thi ye jaan


Jindgi ke safar me chalte chalte

yun thak jayeenge ek din socha na tha

bich doraahe par ek din khud ko

akela paayenge ye bhi socha na tha


kasoor itna tuje dard na dena chaha kabhi

isi dar se har gham ko aagosh me chipaya humne

meri khamoshi ka sila diya is kadar ki

sare aam bewafai ka ye iljaam lagaya tumne


kaha tak nibhaati wafa e mohabbat e humdum

ghar apna tak bi gavaan diya humne ….

umeed muje tujse sirf wafaai ki hi thi

judaai to har waqt kismet me likhi hi thi


bada kamjor samaj baitha mere dil ko tu e yaar

chah teri khushiyon se badkar baaki hi na thi

gar tere pyar se tuje mila sakti hai ye muskaan

to in haathon se tera sehara bhi saja sakti thi ye jaan..


No comments:

Post a Comment