Monday, May 25, 2009

Ye kis kashmakash me chod gaye ho tum muje

Ye kis kashmakash me chod gaye ho tum muje
Jindgi jese ruk si gayi hai ..........

Kyu mera har sapna adhura rah gaya
Kyu milne ka wada adhura rah gaya...........

Meri bus ek baat yaad rakhna
Tum duniya k sabse ache insaan ho ..........

Tumhe dekha bhi nahi tha mene
Tabse tumse mohabbat ki hai .................

Anjani si us aawaj ko dur se hi mahsoos kiya hai mene
Tumhari har baat ko bina kahe hi mahsoos kiya hai mene ............

Tumhara haal main janti hoon..
Intezaar rahega muje ab sirf tumhara itna jan lo tum.........

Chahe to de do mujko tum koi bhi saza...
Magar yu chup rehkar mujko na satao tum..

Akhiri saans tak sirf tumhaa intajar hai
Icha to thi jab vida lu main is duniya se................


Tumhare hi kandho ka sahara ho muje
Aur mang me tere naam ka sindoor .............

Bus teri parchai us waqt muj par padh jaye
meri akhiri ye icha puri ho jaye .............

Ho sake to mujse baat zarur kar lena...
ho sake to mera haal bhi pooch lena..


tumhare intajar me ...........
with lots of love

Thursday, May 21, 2009

kuch kwab aur kuch haqiqat


Ye jivan kya hai ,
kya hai iski haqiqat in sawalo k jawab jab mene us khuda se mange
to Ek din khuda ne mujse kaha
Jise tu manjil samaj rahi hai,vo to ek sahil hai
Jise tu pyar ka dariya samaj rahi hai ,vo to barish ki chand boonde hai
Jisme tu meri parchai khoj rahi hai ,vo to ek pathar ki murat hai
Jisme tu apna har sach dekh rahi hai ,vo to ek adhura sapna hai
Vo sach to hai par vastvikata nahi
Us khuda ne har pal samjhaya ,har ek rah par rasta dikhaya
Muje roka usne ,toka usne ,bahut samjhaya bhi usne

Mene kaha e khuda
Agar vo meri manjil nahi ,to unhi raho par chalungi ….tum bus ye rah kabhi khatm na hone dena
Agar vo barish ki boonde hai to use pyar ka dariya samaj k apni aankho me bansa lungi…..tum ye tufaan kabhi thamne na dena
Agar vo tumhari parchai nahi ,to bhi us pathar ki murat ki puja karungi …tum meri astha par bharosa rakhna
Agar vo adhura sapna hai to unki bahon me is tarah sar rakh kar so jaungi….tum bus meri subah mat hone dena
Vo sach hai ,vo jo bhi hai ,jesa bhi hai ,muje tumne hi unse milwaya hai
Wo to mere liye tumahara ek chamtkar hai
Wo to mere liye mera bhagwan hai
Uska diya har gum muskura kar ab sah lungi main
Uski berukhi ko bhi apni kismat bana lungi main

Tum bus itna karna mere liye …………
Unko yaad kar saku ,ye haq mujse mat chin.na
Tum apna diya ye ashirwad mujse mat chin.na
Tumhari di huyi pahchan hai ye,tum mujse meri pahchan mat chin.na
Jise dil se apnaya hai mene ,mere dil ki us chahat ko mujse mat chin.na



Pyaar karta hun par bataa nahi sakta

Pyaar karta hun par bataa nahi sakta
Haq rakhta hun par jataa nahi sakta
Aaina bhi dekhun to nazar aati ho tum
Khayalon se tumko hataa nahi sakta

Mere khwabon ki taabeer, tumeh saraah nahi sakta
Mere dil ki jaageer, tumeh paa nahi sakta
Khudah se badhkar hai kuch azeezon ki marzi
chaah kar bhi khilaaf main jaa nahi sakta

Hadd se zyada hai tumse mohabbat, phir bhi
Tumhare iss dil mein, tumeh basaa nahi sakta !!

Wednesday, May 20, 2009

unse huyi thi jo pahli mulakat aaj bhi yaad hai

Aaj koi gum nahi ,,chand pyar lamho ki yaadgaar lekar ye shuruat karti hu ….
Kyuki vo kahte the ..hanste huye jaoge to khushiya laoge …unki kahi har baat muje aj bhi yaad hai ,,jo huyi thi pahli mulakat vo aj bhi yaad hai
jo huyi thi unse vo pahli mulakat aj bhi yaad hai
Wo din wo har ek pal wo lamha muje aaj bhi yaad hai .............

surkh kirno me se anjana sa chera aaya tha smane mere muje aaj bhi yaad hai
Unka bin kahe sab kuch kah dena ,unki jo padi thi muj par chupke se pahli najar vo aaj bhi yad hai ............

Wo subah ki pahli kiran jo unki baho me bitai thi mene
Unki baho par sar rakh kar chain bhari need jo aayi thi mujko .....

Chand paloki vo mulakat muje aaj bhi yaad hai
Chand lamho me jee li jo mene pyar ki saugath wo aaj bhi yaad hai .......

Ajnabiyo ki tarah ki jo mene unse har baat vo aaj bhi yaad hai
Jeevan bhar saath beetane ke apke har waade muje aaj bhi yaad hai........

jindgi ka jo pahla tha kisi ka vo sparsh muje aaj bhi yaad hai
unki baho ka vo haar muje aaj bhi yaad hai ................

unki vo khamoshi kuch na kahte huye bhi sab kuch kah dena muje aaj bhi yaad hai
Labo ki wo mithaas, unka bepanah payar muje aaj bhi yaad hai .............

Un raho par apka hath thame uthe the jo kadam vo aaj bhi yaad hai
Muje chod k jate huye tumhara mud k piche na dekhna muje aaj bhi yaad hai....

25 october 2008 ki vo pahli mulakat muje aaj bhi yaad hai
Agle mahine aaraha hu ,jaldi aaunga ,unka har labz aaj bhi yaad hai..............

Bar bar dil se uthte hai yahi sawal kya sach me thi vo meri akhiri mulakat
e khuda gujarish hai tujse jo gar thi vo meri unse akhiri mulakat

ab na ho payegi humse kisi aur k sath ye pyar bhari saugat
bula lena usse pahle tu muje apne paas…………………………


mene pyar kiya hai unse ab dubara kisi aur se na ho payega
na kisi aur ko khush rakh paungi ,na koi mere sath khush rah payega


tumhari har baat ,har ada muje aaj bhi yaad hai
jo chaho muje de do saja ,na do bus tumhari khamoshi ki ye saja ..


with lots of love
only urs forever