Tuesday, November 15, 2011

mera ghar aakhir basayaa hai usne …..




Kismat main hua to milenge hum ek din ye to hamesha bataaya tha usne
badlega un hathon kismat ko vo mere ,aesa kuch man sa banyaa tha usne

rakhna tum apna khyaal hamesha,aaunga ek din kaha bhi tha usne

bandhna hai ek din bandhan me humko,ye soch sang mujko bulaaya tha usne

na juda hum dono,do jism ek jaan the,Milan vo aesa banaaya tha usne

kya dogi  mera ansh mujhe meri jaana,aansu bhi aese bahaaya tha usne

maang teri saja di hai maine,dil me bhi apne basaya tha usne

chipa to na paaya ek raaz apne dil ka ,aaina ek aesa banaaya mujhe usne

majburi ke vo bandhan me bandhna tha usko ye to
 par kabhi  bataaya na usne
pari ek anjaani laa di hai meri maa ne, sangini ab banegi ye  bataaya na usne

apne hatho se sindur saja kar mujko kyu phir suhaagan banyaa tha usne

maa se milkar aata hu jaan e jaana ,ye kahkar man mera bahlaaya tha usne

na aaya ,na uski khabar phir kabhi aayi,ye kaisa rishta banayaa tha usne

intaazar me thakti nhi meri aankhein,dil se bhi lagta nikaala ab usne

girte the aansun tadpata tha vo bhi ,aaj badha hi rulaaya hai usne

rakhna tu usko khush tu hamesha,e khuda,mera ghar aakhir basayaa hai usne …..

Wednesday, November 9, 2011

sindur ka apne marte dum tak bus mujhko hai farz nibhaana ..............


chipa to liya gunah apna ,tere hi apno me tune 
dua karna grahan ki us raat ke saaye sada juda rahe tujse 

kal sota tha tu sang me jiske,chehra tak bhi bula diya hai tune 
pyas bhujhaayi teri jisne,us prem ko bhi nakaar diya hai tune 

ek anjaan ko jab suhaagan banakar ,duja byah racha liya tune 
khoon ko apne jab thukra kar,ek aur se ghar basa liya tune 

chanchal man tera aaj jab ,usse bhi man tera bharne ab laga hai 
kah dena apni maa se tu ab,maa is gudiya se jee sa bharne laga hai 

maa vo teri hai ,duniya me tera teeja bayaah bhi racha sakti hai 
radha ho ya meera ho jag me,tabaah har ghar karwa sakti hai 

radha ,meera,ya vo bahne teri, maa ho ya pita ho tere 
har ek shaks chahe khushiya bus teri ,tabhaa hone ka afsos nhi hai 

na kar afsos in riston ka ab,jhuti aesi jindgi likhwa li hai tune 
dil se logo ke sang khelne ki fidrat aesi bana li hai tune 

khamosh bus rahkar tujko teri khushiyon se sada milwana 
sindur ka apne marte dum tak bus mujhko hai farz nibhaana ..............

Tuesday, November 8, 2011

prem athah main tuje vo dungi,


meethi meethi batein teri,
masumiyat si ada h teri,
ehsaas aese jaga deti h,
choti si ankhein ye teri,
har gham ko jo bhula deti h,
pyari si muskaa.n ye teri,
mila muje sbse pyara jo,
ishwar ka vo tohfa tu h,
pyar tuje itna main dungi,
sankaar vo tujme main dungi,
na kare apmanit nari ko jag me,
ek pyar ek byah bas tera, dhokhe ki vo duniya na ho,
prem athah main tuje vo dungi,
chavi na uski tujme phir vo..



sindur maang se poonch to jaata .....



thamne lagi hai saansein bhi ab 
ishq tera nibhate huye ab 

zhukne lagi hai baahein meri 
karz tera chukaate bhi ab 

ek pal sukun ka ho bus 
jaane kab aesi manzil hogi 

tu chod gaya kaliyon me mujko 
par kaanton ki bhi chubhan to hogi 

duja bayah racha kar usne 
ghar apna to basa liya hai 

bhul gaya aaj waqt ke sang vo 
kitno ko usne tabaah kiya hai 

kese apne main farz nibhaau 
itna to bata kar jaata 

tere rishtein ko kese jhuthlaau 
sindur maang se poonch to jaata .....



Sunday, November 6, 2011

bete ka apne duja byaah rachaya

sindur ka apne maan nibhaana,maa ne meri sikhaya jab tha
na khelna is sindur se tu,maa ne usko kyu nhi bataaya ..........

maa to jag me ek hi hoti,vahi hai mamta,pyar ki devi
phir apne hi khun ke aage kyu us maa ka man na hichkayaa

sindur mang me bhara hai usne ,rishtan usne aesa banayaa
sab jaan ke bhi kyu us maa ne ,bete ka apne duja byaah rachaya

Saturday, November 5, 2011

chanchal komal tere hriday ko phir kyu na samjha usne ...



shirkat ki muddaton me aaj jab mahfi me unhone 
dil ko laga ki ahsaas hua hai mere dard ka unhe 

jeeti aayi ek bhram me thi ab tak 
jhuta tha uska har lafz,sirf chal tha har pal 

lafzon ne bayaan bhi kiya to us shaks ka manjar 
jiski chahat me ghar bhi mera ho gaya hai banjar 

kyu gustakhiyan maaf teri vo kar na paayi 
pyar to tera sacha tha phir kyu mili tujhe ruswaai ......

saun khoon maaf ho jaate hai us ishq pe apne 
chanchal komal tere hriday ko phir kyu na samjha usne ...




diye jo ansu tune

apne ruh apne jism in saason se juda kar diya tuje humne,
diye jo ansu tune inhe kyu mera humsafar bana gaya tu?

mulaakat jab teri us parri se hogi

mulaakat jab teri us parri se hogi ,
sabse jyada khushi is dil ko hogi ,
khuda mera jaane tu mera kya hai,
tere liye har gham bhi sahna padha hai ,
muskaan meri us din phir se hogi
tere chehre pe phir se jab muskurahat vo hogi ...

tu zahar hum dono ko de jaata.

mita diya tune us rishton ko jese dil se,
raah ek aesi muje bhi de jata,
saat fere kisi aur se le to liye tune,
sindur ki meri us lakeer ko tu mita ke to jaata,
main to khamosh hu bewafai pe tere,
is jindgi k badle tu zahar hum dono ko de jaata.

badal gaya hai aaj mera vo parmeshwar



ho jaati hai shayad khata kabhi ishwar ke hathon 
jaane kyu diya bandhan ye usne mujhe tere hathon 

saajeeshon ne teri mujhe ghera hai aesa 
manjil ka jis par aaj koi nishaan nhi hai 

ek khata kahkar tune thukra diya hai 
ye kasoor tha mera maine tujse sirf pyar kiya hai 

kaash naam ka arth tu apne nibha jo paata 
najron me mere ishwar ki tu jagah bhi paata 

muj par jo kiye sitam tune unhe maaf bhi kar du 
par mamta ko aaj kaise main apne niraakaar main kar du 

badal gaya hai aaj mera vo parmeshwar 
na raha mere jag me koi ab duja ishwar



Friday, November 4, 2011

mamta pe apni ye sar jhukana ab hoga

nakaab chehre ka sahej ke rakhna,
rukh in hawaaon ka muje badlna ab hoga,
bahut nibhaaya pyar hamne apna,
mamta pe apni ye sar jhukana ab hoga

ek bar tu mujse najar to milana.



Ibadat pe apni gurur gar tujko,
mere ek shabd ko jhutla kar dikhana,
bojh to main tuj pe kbhi bhi na thi,
bus ek yehi tu ilzaam na lagaana,
bharosa gar tuje teri shaksiyat pe,
ek bar tu mujse najar to milana..



un lamhon ka tere ye mukaddar hai ...



tham lena ab dil ko apne 
vo din tera phir aane wala hai 

sej is baar na phoolon ki hai teri
na dum todta vo aanchal hai mera 

na khushboon teri un saanson ki ab hai 
na milan ki us raat ke pal hai 

ujaade apne aagosh me jo tune 
tabaah huyi un jindgiyon ka ab manjar hai 

chipa rha jag me tu jis pal ko 
un lamhon ka tere ye mukaddar hai ....


kyu man mujse hi bahlaaya usne ??


pyar tha har pal dil me jab uske 
kyu mujhko apna banaaya usne 

yadoon ki usko kami to na thi 
kyu lamhe sang gujare usne 

shikwa raha ishwar se apne 
ek bewafa se milwaaya usne 

mohtaj nhi thi bandhan ki main to 
kyu sindur ka khel rachaaya usne 

khel nhi gudiya ka tha ye
kokh thi meri ,ye mera jag tha 

kami kaha thi usko jag me 
phir kyu man mujse hi bahlaaya usne ??



Thursday, November 3, 2011

mera sath vo dene laga h..


diye jo ansun tune,unhe ye ab pochne laga hai
akeli na ab rahi jag main, mera sath vo dene laga h..



Wednesday, November 2, 2011

hum khamosh hai uski hi khushi k khatir



sajeeshen racha kar mujse,
imaarat jhuthi jindgi ki basayi hai usne,
bade ja rahe hai kadam uske 
insaniyat ko sharmsar karte
hum khamosh hai uski hi khushi k khatir
varna dard to mere dhruv ko ab b hota hai..



Sunday, October 30, 2011

vo haunsala bhi tu adaa karna


har din naya haadsa diye ja rahe e khuda 
shiddat se karu saamna ,sang inke vo haunsala bhi tu adaa karna

shikwa nahi sukragujar hum tere,



laal surkh sindur se tune muje apna banaya h,
mere dhruv me maine tere usi rup ko phir paaya h,
shikwa nahi sukragujar hum tere,
meri mamta ne aaj tere charnon me sheesh nawaya h..



vo kahte man bhar gaya hai unka ab humse,



tinka tinka bewafai vo nibhate ja rahe hai,
hum bakhubi gunahon ko unke chipaate ja rahe hai,
vo kahte man bhar gaya hai unka ab humse,
vo kya jaane apne hathon ki us lakeer ko vo jhutlaate ja rahe hai,
mana bahut hai duniya me tuje pyar karne wale,
par gurur hai hume humne tuje tere har rup me jaana hai,
ibadat us ishq ki ya ho milan ke pal vo tere,
sajeeshen vo teri ya chehre pe nakaab tere,
tuje har rup me jaana hai ,har rup me apnaya h.

tere anchahe har pal ko humne sanjo liya ab palkon me apni,

tere anchahe har pal ko humne sanjo liya ab palkon me apni,
kho na jaaye ye andheron me is dar se in ankhon ne sona bhi chod diya ab to..

bewafai to tune sache dil se ki thi,


use pakar bhi tu rah gaya adhura,
ye kesi kismat tune paa li hai,
bewafai to tune sache dil se ki thi, 
phir b kyu tere us dil me aaj udasi chayi hai..

kya shikwa karein ya shikayat hum tujse




kya shikwa karein ya shikayat hum tujse
tune hume vo saja di h..
ek dilkash pari ki tadap me tune
 nanhi meri kali murjha di hai..
 


adhron ne tere ye kesi pyas bhujhaayi mujse e ishq,

adhron ne tere ye kesi pyas bhujhaayi mujse e ishq,
tham gaya ab waqt mera teri baahon me fana hoke.

Saturday, October 29, 2011

arth prem ka aesa samjhungi..


prem samarpan mamta se apni ek chavi tuje de jaungi,
chune bhar ki chah na ho bus,arth prem ka aesa samjhungi..

parwarish aesi tuje de jaungi


khamoshi ne mere chipa to liya gunahon ko tere,
dekh karishma kudrat ka jara ,
vahi chehra lekar aya h ye ansh tera,
vo pyari si hansi iski mere har ghum ko bhula deti h,
meethi meethi boli iski jeene ka maksad de jaati h
na khele sabke dilo se jo vo pyar tuje de jaungi,
kare samman sabka jag me parwarish aesi tuje de jaungi

Thursday, October 20, 2011

to my God


You can hear me all the way my God,no ques,no words for you,today..thanks for being with me,thanks to show his face,thanks to show the fact.m your child,who always want to live in your arm.keep loving ,keep your blessing as always for me.i trust on you.more than ever,thank u God .so much thank you.
I left you one day in his hand,so that he will also be blessed with you,like you have done always miracles for me ......but he didn't care you as mine.sorry for that.n sorry i left you with him.so sorry......so sorry

tu kamjor dil ,tere bus me nhi muje paana


teri khushiyon se tujko sada hai milaana 
isliye ghum apne mujhe sahte jaana 

tere chehere ki rangat se khamosh ab main 
tere hi liye ,tera gunaah hai chipana 

to kya gar man tera bhatkta hi rahta
sachi ek rah pe tujhe hai chalaana 

tuje to bus sirf ek naya chehra hi bhaata 
chune ki chah bus dil me liye jo chalta 

na bandhan,na bojh mere rishte ka tuje dungi 
tu kamjor dil ,tere bus me nhi muje paana

Wednesday, October 19, 2011

tod gaya tera sach ye mujko


sach se haari kabhi nahi main
dil pe bhi mera jor chal jata
par tod gaya tera sach ye mujko
isse to tu ek bewafa hi rah jaata

gaya h muje najron me meri aur gunahagaar banakar...


gujaare un lamho pe chadar ek dosti ki audha kar,
bin pyar ke sang mere pariwar apna basa kar,
barson ke mere sath ko pal bhar me bhula kar,
gaya h muje najron me meri aur gunahagaar banakar...

ek chamkta sitara


jaldi se tu bada ab ho ja
maa ko teri jarurat bahut h
muskaan aaj sirf tere liye ye
dil rota to aaj bhi bahut h
maa ki apni tu ek sahara
unka tu chamaka h sitara

manjil ka muje koi nishaan nahi dikhtaa


lamha lamha gujar rha band mutthi se rait ki tarah 
dur tak bhi manjil ka muje koi nishaan nahi dikhtaa

meri sachaai ka ek bus tu hi gawah hai


bus sath tu na chodna mere apno ki tarah 
meri sachaai ka ek bus tu hi gawah hai 
is jameen par nhi teri kadra karne wale to kya 
us jahaan me to sabko tujse milna hi hai maula .....

Tuesday, October 18, 2011

takdeer ne bhi usko kya se kya bana diya


ghum hua is kadar wajood apna mita gaya..
takdeer ne bhi usko kya se kya bana diya

ik aas me bhi kab tak aese jeeye ab hum.


mil kr juda na honge chaha sada se usne,
bola phir is ghum se na jee sakunga main
ek akhiri mulakat na baat phir ki usne,
ek aas me bhi kab tak aese jeeye ab hum..


dil tera mujse ab bhi judha hai




dil tera mujse ab bhi judha hai,
har ghum se tera mera naata judha hai 
na soch mere baare me ek pal bhi tu humdum
dil mera us pal dhukhta badha hai



jo puche meri nishani b koi


jo puche meri nishani b koi
apni ek muskaan tu dena,
jo mange tasveer to koi 
dil me hi apne ek bar jhank lena

jo ishq ka arth bhi na samjha.


dost shabd ko hi apmaniyat jo kar gaya
mang sindur saja ke jo anjan kar diya
kaise bhul skta vo lamhe jo gujaare
swarth me apne na vo insaan b rah gaya..
Har bar sajisho ko range hatho hai pakda
insaan nh par jo hawas ka hai putla
mit gaya shikwa b ab khuda se mere
kya krta muje vo pura jo ishq ka arth bhi na samjha.

Monday, October 17, 2011

mera ishq ek din mujhe nikaalega is tufaa.n se


Shayron ki ye mahfil meri duniya hi na thi
Tumne e mere yaar muje ye kya baana diya

Na pyar tha jindgi me na ehsaas the koi
Tere ehsaason ne jaane kya jaadun kiya mujpe

Bewafaai se tere kabhi anjaan main na thi
Par khushiyon pe teri sada kurbaan thi main

Waqt ek vo bhi tha jab shabdon ka ye manjar
Na bus ka tha mere,na judi thi main inse

Bahoon me apni thaame tum laaye muje yaha par
Ghar ban gaya vo mera,jo mahfil thi teri

Sukun ke vo pal the,jo teri yaadon me bitaati
Bus tujhiko hi main  padhti,tujhi ko sunaati

Kya khub the vo din bhi  pahle tere vo pyar ke afsaane
Khandala ki un waadiyon me main tujhko sunaati

Aankhon se girte aansun,sahmi meri awaaj ko main tujse chipaati
Sunna mere ishq ko vo gujra taraana, soch apne armaan main khud me chipaati

Tu to chala gaya apni ye yaadein deke mujhko
Paane  ki  laalsa thi bus ek parri ki jo  tujko

Aayi thi jab sang main tere is mahfil me
Baahon me thi main tere,band ankhon se tere dil me

Ghut rhi ,dum todh rhi hu .. ab main teri is mahfil me
Wapas kaise jaau ,na dagar ka pata hai

Har  shaks yaha hai jhuta,mukhauta chada hai
Seene me jo apne gunaaho ko chipa raha hai

Phir bhi na jaane kyu aaj bhi dil sirf tujhi ko manta hai
Khadi hu aaj bhi vahi par,na raasta hai koi

Kal jab  mera ek aansun tha girta ,tadap me uski tera dil bhi dukhta
Aaj jab ye aansun tere hi diye hai,to kyu inka tujko ahsaas nhi hai

Dil to tera aaj bhi mujse anjaan nhi hai,
Phir kyu aaj tu khaamosh hai e yaara

Maana main teri vo chaahat na thi lekin
Tu  jaane mere us pal ki pahchaan to  tu hi hai

Baahein bhi ab meri dam todhne lagi hai
Saasnein bhi ab meri thamne si lagi hai

God. ko tune meri apne phoolon se hai khilaaya
muj  pagli ko hi tune hai apnaa banaaya

nanhe nanhe  kadmon se kaha use leke jaau
kaise ab e ishq main use apna baanaau …

janmdaata hai tu to teri is mahfil ka
tu gyaani hai dharm ka,insaan jo sabse uncha

isse pahle toot ke main dafan ho jaau teri mahfil me
le jaa mujhe yaha se ,koi rasta dikhaa de

dum ghut rha yaha par,na saansein li hai jaati
e ishq mere mujhe mera mukaddar tu dhikha de

maana k aaj tu masruf  teri duniya me
par kaise tu bhul gaya ye duniya bhi to teri  

mere is phool ka bhi  tu hi hai maali
murjhaati in kaliyon ko aaj tu bacha le

sisak rhi hai  ruh meri is andheron  me
dar lag raha hai mujko ,bin tere ye kya jahaan hai

dubak ke ek usi kone me hu main  baithi …
ishq aayega  ek din .le jaayega muje bacha ke

bharosa hai mujhko apne ishwar pe sada se
mera ishq ek din  bacha lega mujhe is jaahaan se

haan mera ishq ek din mujhe nikaalega is tufaa.n se
haan mera ishq ek din mujhe nikaalega is tufaa.n se