Friday, August 26, 2011

mita sake jo lakeer sindur ki ...kash aesi koi lakeer hoti

mita sake jo lakeer sindur ki ...kash aesi koi lakeer hoti
ahsaason ko juda kar de ..kash aesi takdeer koi hoti..

Monday, August 22, 2011

badal ko chune ki chahat to thi,

badal ko chune ki chahat to thi,
udne ka armaan nahi tha magar,
de diya mujhko ek ajnabee aasman,
mere pairon se meri jameen chinkar....

happy janmashtmi

dahi ki handi,
barish ki fuhaar,
murli ki taan,...
muskaan ki bahaar,
maakhan churane
aaye mere nandlal...
mubarak ho ap sabhi ko janmashtmi ka tyohaar :)

Saturday, August 20, 2011

Ishq Ibadat

hauslein buland ,sachai meri dhaal hai
uth.te nhi mujhpe ,aaj tujpe hi sawal hai

dilkash pari ki tadap ne kiya mujhe hi badnaam hai
sar jhuka chipte nahi ye ishq ,mohabbat ,pyaar hai

jhuti teri shaksiyat, har shabd bemisaal hai
gyani vo dharm ke ishq ibadat mere yaar hai..

Tuesday, August 16, 2011

ISHQ IBADAT

Ishq Ibadat khud ko bana to liya tune
us ek dua ki tu adaaygi to karta
raah chalte maang sindur se saja di tune
surkh laal us rang se wafaai to karta




Beshaq chipa liya gunah tune tere hi apno se

Beshaq chipa liya gunah tune tere hi apno se
Beshaq de diya daga tune risthon ko magar
Beshaq tera ye karm benakaab na hoga kabhi
Na bhulna ..ishwar ke aage har nakaab bekaar hai ...

na koi muskaan ho

tham jaaye ye tufaan jaha aesa bhi koi sahil ho
ujdhe huye gulistaan me phoolon ki si mahak ho
na pyar ho ,na nafrat uski ,na hi koi chahat ho
ibadat pe uski jo parvaan chade,na koi muskaan ho

Monday, August 15, 2011

toson preet tod krishna kaun sang jodun rey..........

toson preet tod krishna kaun sang jodun rey..

Ibadat to tune dikhayi thi ishq ki

Ibadat to tune dikhayi thi ishq ki
ek ansh uska nibhata to jara ..
tune sindur to saja diya mang me
jate jate usko mita deta to jara ....

Sunday, August 14, 2011

jab bhi paaya ishq me tuje tadhapta hi paaya

jab bhi paaya ishq me tuje tadhapta hi paaya,
kanhi farz to kanhi teri trishna ko paaya,
maa ki jhuti un kasmon me,pyar bhare tere hathon me,
har shabd me tere; humne apna kafan paaya...

Saturday, August 13, 2011

Na Lazzit ise E -insaan tu karna

rakshabandhan bhai aur bahan ke aseem prem ka parv mana jaata hai...lekin adhunik samaj me is bandhan ke badalte parivesh ko maine dekha hai jise dekhkar main yah post likhne ko badhya hu....ye shabd kisi bhi bhai bahan ke liye nahi hai...ye sirf aur sirf adhunik samaj me badalte huye parivesh ko lekar maine likhe hai .....maine ek istri aur purush ke prem ke rishton ko dekha tha .vahi prem jo ek premi aur premika me hota hai ,lekin samaj ke un thekedar ne apne us prem ko chipane ke liye us bandhan ko bhai bahan ka naam de diya ,,isi sankuchit vichardhara ko lekar man me ye shabd ubhar aaye hai mere ..........main yahi kahna chahti hu ki insaan kabhi bhi apne ek rishte ko chipane ke liye dusre paavan bandhan ka apmaan na kare........samaj ke aese logo ke liye ye meri ek aawaj hai.....

bhai bahan ke rishton ko koi badnaam na karna ,
himmat hai to sache apne rishton se pyar karna ,

ye bandhan hai Bali ,Laxmi ka
Yam,Yamuna… ..Karnavati, Humayun ka,


Hawas ki apni bhukh me padh ke
Na Lazzit  E -insaan tu  karna,

Kyki ye bandhan nahi hai laila ,majnu ka

ye bandhan nahi hai laila ,majnu ka........

ye to kanhiya draupdi ka
maryada iski tu par na karna,

Na Lazzit ise E -insaan tu  karna
Na Lazzit  ise E -insaan tu  karna

Wednesday, August 10, 2011

tabaah kar gaya vo shahjada

har bandhan har rasmon ko nibhata,
aayega ek din vo shajada,
sapna tha mera b aesa,
par tabaah kar gaya vo shahjada.

bin kahe jana kya farz tha tera?

ishq mera mohtaj nhi tere shabdo ka magar,
in rishton ko nibhana to haq tha tera
do bol pyar k mange bhi na maine,
par bin kahe jana kya farz tha tera?

aaj tune mujhe phir rulaaya hai

kyu tere gunahon ka muje phir khyal aaya h,
bewafai ne teri aaj muje phir rulaya h..

kese gujarta vo dohri tu saasein teri

mere ishq ko is kadar maine majbut banaya h,
na afsos na koi pashchatap ab isme paaya h,
kese gujarta vo dohri tu saasein teri,
yhi soch humne apna astitva ganwaya hai..

Saturday, August 6, 2011

preet piya ki jag se pyari

preet piya ki jag se pyari,
tujh par jaau main balihari,.
jeet piya ki mohri jeet bhaii,
sang piya ke mohe haar bhi pyari..