Thursday, February 24, 2011

vo parmeshwar nhi .....



kal jab vo sath thi uske
kisi aur me apni pariyo ko khojta tha
radha apni kahta usko
meera ko bhi dil me rakhta tha
na radha na meera uski
vyakul hryday tha shaant na hove
manjil pe apni pahuch gaya vo
phir bhi pyas na bhuji hriday ki
vyakul man aesa ki uska
sath fero ka bandhan bhi rok saka na usko
aaj bhi tadpan vahi hriday me
bhatkta rahta... yahi bus kahta
kaha hai tu ,kaha hai tu......
SHONA KAHA HAI TU??????????????
.
.
.
.
.
.
vo na jaane ki vo Krishna nhi
na jaane vo...k vo parmeshwar nhi .....

No comments:

Post a Comment