Friday, April 22, 2011

Ek Kahaani............

Is duniya me ishwar ki har galti ko hum swikaar lete hai yahi soch kar ki jo unhone kiya hai usme humara kuch acha hoga ….lekin kbhi kabhi unke kuch faisle us khuda k hathon huye vo gunaah se lagne lagte hai jin par bharosa nahi hota ……….
kabhi kabhi ishwar insaan ko aese doraahe par la deta hai ki insaan apne farz nibhaate huye tabaah ho jaata hai ……Apne maa papa ki laadli ,ghar ki sabse pyaari beti thi vo ,naajo se pali thi, kaanton bhari raahon se jindgi kheli thi vo … …..



ghar ki haalat kuch thik nahi thi…..akeli sare ghar ka bhar uthaati….
apne maa papa ka saahra ban ke unke sare karz chukaati………
ek farishta aur tha jisko ishwar ne bheja tha paas uske …
uske saath jee leti thi vo har jang apni …..
pyar unka tha aasmaan me par jaane vo bhi
na uski koi manjil thi baaki……
kiya faisla ho jaana hai juda usse ab bhali bhaanti..
jab bhi koshish karti thi vo….kismat aesa khel rachaati…
dur jaane k baajay vo aur uske karib ho jaati ….
dono majbur the ishq me apne …
par nishakth the farz me apne….kiya faisla dono ne milkar…
ab raah rahi koi na baaki…..chale jaao ab dur mere sathi……
vo boli ek antim mulaakaat muje de do..jisme jee lu main apna jeevan baaki …..
vo bola gar hoga kismet me na hogi ye mulaakat ab aadhi…..
koshish rahegi le jaaunga tuje dulhan baana ke….
Mannat thi uski sidhi vinaayak jaana tha ek bar sang me uske ,
ahsaano k tale dabaata,dikhaayi apni mahanta usne
chada diya apne haton se mang me uski, maa k sindur ka rang bhi usne
le chal padha vo sang me apne …..kara diya har darshan baaki…………..
kismat ka khel niraala tha tab ,,,,,,,……de gaya vo usko apni nishani……
Juda huye par dono phirse …kya karti vo akleli shahjaadi…….
Farz nibhaaye ya aan ko apni .. beech mazhdaar me khadi huyi thi ……
Jab bataya us farishte ko sach …dikhaaya usne jo rup tha baaki
Bola chali jaao kahi par ,…mita dalo ye nishani
Kari koshish usne puri thi par,na kar paayi apne hathon kurbaani
De diya janm bete ko usne..ab kya karti uski thi vo nishaani….
Diya sath apno ne uska,dur rahke barasti ma ki mamta
Jo dood pila saki na apna ,bhijwa deti thi khoon use apna
Har ek pal har lamhe ki pal pal khabar use de deti
Par farista tha khuda ka aesa masruf tha suhaagraaton me apni
Nayi thi dulhaan naya tha jeevan kaha fasen in uljhan me vo
Farz apna jaan kar usko har pal apna bata deti thi
Par khuda bhi bada shaatir tha ……khela khel usne bhi tab tha
Tarsa diya is sansaar me ek boond us khoon k liye tab
zholi faailaaye ,bheekh thi maangi Tadpi …uske aage thi vo
Na diya ek katra tha usne ,laga diya bewafai ka ilzaam bhi usne
Mansha purn huyi uski ab ,chala gaya jab vo dur bhi usse
Kya karz chukata pita vo uska ,Hawas hi uski puri huyi na baaki
 
Kya karz chukata pita vo uska ,Hawas hi uski puri huyi na baaki

2 comments:

  1. EM, kaafi der se soch rahin hun , kya likhun ? hamesha kuch na kuch kehni ki koshish karti hun , and apart from beautiful , acha hai , kuch keh nahi pati .. aaj to koi shabd hi bahar nahi aa rahe .. kya kahun ? us farshite ke asli rang ke baare main , us nanhi si jaan ke baare main , un maa baap ke baare main ya us pari ke baare main chitra chitra karne wali tufan se itni dat kar mukabla kar rahi hai ? silence is my answer and i am trying to understand this silence ..

    ReplyDelete
  2. hello dream gl ,hope u will be fine ....jis tarah tumhare pass shabd nhi usi tarah tumhe shukriya kahne ke liye muje bhi koi shabd nhi sujhta yaha.....my answer should be silence only...kyuki kisi ne kaha h..dil se dil ko rah hoti h,,dil ek duje se jude ho to khamoshi ko bhi jaan hi lete hai.........

    ReplyDelete