Friday, October 9, 2009

Jo Tum Chhoodo Piya, Main Nahi Chhodu re ...

Jo tum chhoodo piyaMain nahi chhodu re
Tosai preet joudi KrishnaKaun sang joudu re…

Meera nai toe keh daala,
Main kya boolu mere Ram,
Is kalyug ke bhoolbhlaiya mein
khoye Mere who sawarai, sunder Shyam

Janam sai he, iss vyakkol mann mein,
Ek pyaas ajeeb samayee hai
Mein bhi banoo ek din piya ki pyaree
Yeh tujhe se duhai hai

Itna toe batla de o Bhagwan
Is bhanwar mein jo tune utaara hai
Mere Kanha ko bhi is kalyug mein
Behshaque tone kahin banaaya hai

Mann main bassi hai moore Prabhu
Meera ki he madhoor vani,
Tann mein agann jale hai morai
Radha se mai prem diwanee

Iss matwali kaari duniya mein Morai Kaanha,
tohe kahan dhoondhu mai,
Mein tori raah ektook ho dekhoo
Bus aur kuch bhi naa janoo mai


Pal bhi yeh aass nahi mitt-paateeKe
ek din tu bhi aayeega,
Is bawari, akeli bairagan ko he
Tu saprem apni Radha banayega............