Friday, October 29, 2010

tuje tamanna h samandar k us sahil ki

tuje tamanna h samandar k us sahil ki,
kya registaan ki dhul me khila h phool koi

jindgi rukti nh

jindgi ki sachaiya hai ye jo badlti nh,
insan badal jaate h par jindgi rukti nh

Thursday, October 28, 2010

aaj bhi hai

Un mahakte phoolon ki khooshbu fida me aaj bhi hai
Teri aawajo ki vo gungunahat aaj bhi hai
Tere rango se juda vo samaa.n aaj bhi hai
Tere hathon ne jo chua vo aanchal aaj bhi hai

Teri baahon ka vo haar aaj bhi hai
Teri panaah me vo sukun aaj bhi hai
Tere gumo ka ilm is dil ko aaj bhi hai
Tere dukho se ye ankh num aaj bhi hai

Tere pahlu  me gujari raat aj bhi hai
Log kahte tuje bewafa phir kyu  thujpe vishwas muje  aaj bhi hai
Tere be-adab rutbe pe kyu fida ye jaan aaj bhi hai
Tere gunaaho ko chipaan bane hum bewafa aaj bhi hai......

Tuje na ilm iska Teri ruh meri jaan mere saath aaj bhi hai
tera har ek waqt vo ada mere sath aaj bhi hai

malik ka vo haq nhi sukun ki ek saans le saku ....

alfazon ko apne vo pahchan na de saku
malik ka vo haq nhi sukun ki ek saans le saku ....

na rok saka maalik ki ibadat se use koi

na rok saka maalik ki ibadat se use koi
ye banda hai us parwar digaar ka
dafan har riwaj ab us kabra me hai
jis par chada hai kafan us pahredar ka

Tuesday, October 26, 2010

Chand us karwa chauth ka

khuda ki banayi mohabbat ka ek aisa rup,bhookh aur pyaas se aur bhi chamke aisi hai roshni karwa chauth ki jyoti ki ........pati ko samrpit un duaao k liye .....m praying for ur happiness and long life ...............chand sa rahe roshan tu sada  ......happy karwa chauth ............

surkh chandni me nahaya hai aaj
dilkash kirno se lubhayaa hai aaj
chere ki muskaan laaya hai aaj
dekho karwa chauth ka chand aaya hai aaj

tu sath na sahi koi gum nhi
tu pass nahi to ye pyar kam nhi
us khyal se ye aankh ho jaati hai num
mere chand dur kar de ab tu ye gum


to kya hua  tuje gar pyar na ho
sindur mera tujhe yaad na ho
yaado k ye mausam mere na honge kam

chand nikla hai aaj karwe k dum

hai dua har ek meri parikrima kadam
hai dua meri tuje mile tera vatan
sukh samridhi mansha har kadam
mera chand dega tuje ab tera vo dum

chand ko mere main tujme hi dekhu har ek varsh
kese main todu apne is vrat ko is varsh
vaada tha tera tu todega vrat dur rah har varsh
kar dena purn meri ye mansha phir is varsh …….......

Monday, October 25, 2010

gum e judai k afsaane bhi khoob hai

gum e judai k afsaane bhi khoob hai
jab mil jaaye afataab us chand me to parvaane bhi khub hai

Sunday, October 24, 2010

ibadat us ishq ki

ibadat us ishq ki ,vo nadiyaan hai bahti
na badle use na roke use vo bus bahti hi jaaye ......

Friday, October 22, 2010

Sila jindgi ka ek aur de gaye vo is kadar

Sila jindgi ka ek aur de gaye vo is kadar
mere wajood pe sawal kar gaye vo is kadar
unhe kya pata toota hai ye dil kis kadar
apne hi agosh me gumnaam ashiyan hai is kadar

Wednesday, October 20, 2010

jo nibhata ibadat jaan ishq koi

jo samajta dard e ishq ko panah me koi
pyar kisi ka yun kurbaan na hota
jo nibhata ibadat jaan ishq koi
us parwar digaar ka ye banda sare aam na hota ......

Monday, October 18, 2010

kyu itni majbur hoti hai ye MAA


Kyu akhir kyu
Kyu itni majbur hoti hai
Ye Maa

Subah ki pahli kiran me
Aaj bhi tuje khojti
Ye maa

Un mahakti kaliyon ke
Pragkano me tujhe khojti
Ye maa

un phoolo ki khusboon
me aaj bhi tuje khojti
ye maa

apni maa ke aanchal me
apni mamta ko khojti
ye maa

taaron ki us roshni me
sirf us ek sitaare ko khojti
ye maa

patjhad k sukhe patthon me
ek hariyaali ko khojti
ye maa

har nanhi muskaan me
teri vo muskaan khojti
ye maa

kalrav karte panchiyon ki
farfarahat me tuje khojti
ye maa

aouns ki un boodon pe
ek jugnu ko khojti
ye maa

andhiyaari un raaton me
us chanda me tuje khojti
ye maa

Duniya ki bidh me bhi
Kyu uske bin akeli hai
Ye maa

Saham jaati hai jab
Yaad teri aati hai
Ye maa

har ek pal hare ek saans
sirf tuje yaad karti
ye maa

samaaj k un tekedaaron se
sawal karti hai aaj
ye maa

Kyu akhir kyu
Kyu itni majbur hoti hai
Ye Maa
...................................................


Friday, October 15, 2010

teri mahfil me vo sukun hai is tarah

teri mahfil me vo sukun hai is tarah
dafan hai kabra.. me vo ek ruh jis tarah .....

Tuesday, October 12, 2010

maula mere le le meri jaan....one of my favorite lyrics

teeja tera rang tha main to
teeja tera rang tha main to
jiya tere dhang se main to
tu hi tha maula
tu hi aan
maula mere le le meri jaan
maula mere le le meri jaan

tere sang kheli holi
tere sang ki diwali
tere angno ki chhaya
tere sang saawan aaya

pher le tu chaahe nazrein
chaahe chura le
laut ke tu aayega re shart laga le

teeja tera rang tha main to
teeja tera rang tha main to
jiya tere dhang se main to
tu hi tha maula tu hi aan

maula mere le le meri jaan
maula mere le le meri jaan

mitti meri thi bhoori
wahi mere ghi aur choori
wahi raanjhe mere wo heer
wahi sevaiyaan wahi kheer
tujhse hi roothna re
tujhe hi manana
tera mera naata
koi dooja na jaana

teeja tera rang tha main to
teeja tera rang tha main to
jiya tere dhang se main to
tu hi tha maula tu hi aan

maula mere le le meri jaan
maula mere le le meri jaan
maula mere le le meri jaan
maula mere le le meri jaan


darte hai ab gumo ki parchaiye se

darte hai ab gumo ki parchaiye se
jhuke ja raha ye vraksh in tufaano ki gahraayi se...

Monday, October 11, 2010

Sunday, October 10, 2010

tere do chutki sindur ko kisi aur ko de diya humne .....

tere zakhmo ko mala me piro pahan liya humne
tere do chutki sindur ko kisi aur ko de diya humne .....

pyar khuda ki ibadat samaj nibhate ja rahe hai

pyar khuda ki ibadat samaj nibhate ja rahe hai
phir bhi nafrat ki siyasat log badhate ja rahe hai .........

teri najro me ab khud ko giraye baithe hai ..

mahabbat ko teri nafrat banaaye bethe hai
teri najro me ab khud ko giraye baithe hai ............

lauta de muje mera khoya sansaar


Chehre pe ek khumaar
Labon pe vo ahssas
Jab itna tha tuje uska intajaar
To kyu kiya tha tune mujse itna pyar

Na tha tuje muje pe aitabaar
To kyu diya muje tune vo adhikar
Humne tu tuje bheja tha uske paas
Kyu na kiya phir us pe aitabaar

Tune to bhula diya kah k ek bhul thi mere yaar
Karta raha tu usi pyar ka intjaar
Karta raha tu naye risto ki lalkaar
Tu kyu diya muje apne bête ka vo pyar????????

Lauta de muje mere vo din har ek raat
Mera vo pyar ka ahsaas
Lakho hai teri rah me
Tuje mil jayega tera yaar

Bus tu lauta de muje mera khoya sansaar

……………………..



is kalyug ki bhul bhulaiya me khoye vo mere sanwre sunder shyam

samna kar chuke hai badhe tufaano ka

jindgi k chote se safar me ,samna kar chuke hai badhe tufaano ka
ye to kuch sard hawaayen hai ,ye kya bigaad legi mere ahsaason ka.....

tujse kiya hai pyar humne kadar


tere aagosh me khud ko chipa rakha hai is kadar
teri mahfil me hotoN ko see rakha hai is kadar
cheete na padh jaye tere daman pe kahi ..
teri khushiyo ko ankho me chipa rakha hai is kadar ..

sirf aur sirf tuje hi mahabbat karenge

na shikwa na koi shikayat karenge
teri yaadon k dard e saaye me rahenge
tere diye rishto ko dil se jeeyenge
karenege sirf aur sirf tuje hi mahabbat karenge

teri bewafai ko ibadat kahne ko jee chahta hai

tere ishq me badnaam ho jane ko jee chahta hai
teri shaksiyat pe neelam ho jane ko jee chahta hai
teri bewafai ko ibadat kahne ko jee chahta hai
tere pyar me kurbaan hone ko jee chahta hai ....

Saturday, October 9, 2010

Dastak hai un nanhe kadmo ki, Aahat hai kahi phir se unhi sapno ki …………



dur aasman me muskura rha sb dekh ,jo hai sbse roshan chamkta sitara.....dhruv tara...

pyar kitna karu main tuje
Ye kese bataau main tuje
Ye jeevan tere liye
haiKese dikhaau main tuje..

Tune chand lamho me
Duniya badal di meri
Tune dur rahke bhi
Hasti badal di meri .....

Teri masum si muskaan par
Apni jaan lutaau main
jaha rakhe tu tere nanhe kadam
phoolo ki chadar bicha du main ....


Dekhte hi tujhko Apne
sab dard bhul jaau main
Tu hai meri nanhi pari
Tuje apne dil me bassau main ........

mohabbat ko apni lutaane chale hai

mohabbat ko apni lutaane chale hai ,
ek jhut pe apni shaksiyat banane chale hai
khud lathpath hai jo khun se mahfil me
dujo k gum shalaane chale hai................

muje chalna abhi baki hai

tu chal padha teri rah pe e musafir
muje chalna abhi baki hai
rah aasaan nhi ye meri
muje auro ko chalana abhi baki hai ........

Bewafai ka iljaam de gaya vo kuch is kadar


ek haqiqat hai dosto jindgi ki jise shabdo me bayan kar rhi hu .....khadhe hai rah me aese mukaam par jaha manjil ka rasta bhi nhi hai ........isliye kya khoob kaha tha kisine
sach ki dagar aasaan nhi hai ...............shayar family se gujarish hai kuch pal meri jo ye meri sanso se judhe hai ise sahej kar yaha rakhe ..tasalii hogi kuch yun hume ki humne unki baho me apna dum todha hai ................


Bewafai ka iljaam de gaya vo kuch is kadar
Choti si duniya meri viraan ho gayi
karke Jhuta ikarar e mohabbat
mere ishq ki hasti bejaan ho gayi...........

apne khwabo ki tabir k khatir
mere chota sa sansaar ujaar diya tune
yaad kar vo din tere ek ishare par
apna sab kuch gavan diya tha maine........

chand asharfiyo aur husn k aage
mere pyar ko tune nilaam kar diya
maine to tuje sirf pyar kiya tha
tune us pyar ka katal kar diya….

Kya kya na saha tere is pyar me humne
Tune ek hi pal me ajnabi bana daala
Kasur mera tha saja muje de deta
Tune to apne hi khun ko mujse juda kar diya.......

Yaad hai muje har ek pal
Tere sath gujri raton k saaye
Teri bahon ka vo haar
Grahan ki vo raat                                                                                                                           Subah ki pahli shuruaat.........  
Tere saharein k vo phool
teri ankho ki vo chamak
tere vo pahle pyar ka intajaar
Har ek pal har ek saans
Jism ki ruh sab hai mere sath..........
Tune ek chutki sindur me
Meri kismet ko badal dala
Agle hi kshan me tune
Kisi aur ko apna bana daala..........

Tu hi bata tere is rishte ko
main kya naam du
Tune to ajnabi kah diya
Par mathe ki is lakeer ko kya rah du….

Maut se badtar saja hai
Tere is pyar ki
Aaj isse main apne naam kar du
Gar ye bhi tera pyar hi hai to                                                                                                             Dil k har zakhm ko gumnaam kar doon........


Friday, October 8, 2010

khilona hu tere hatho ka

khilona hu tere hatho ka
man to tune bahla hi liya
ab to  jara jhum le tu khushi se
maa ne naya khilona la to diya ........

rahe tu khush hamesha

nanhe kadmo ko kuchal
apne sapno ka mahal sajane wale
rahe tu khush hamesha
tere zakhmo ko humne apne anchal me sameta ............

mohabbat ko apni lutaane chale hai

mohabbat ko apni lutaane chale hai ,
ek jhut pe apni shaksiyat banane chale hai
khud lathpath hai jo khun se mahfil me
dujo k gum shalaane chale hai..................




tu khamosh na rah muskura...

apne hi sindur ko humne daan kiya hai ...........



ek khudgarj se humne pyar kiya hai
uske har jhut pe aitabaar kiya hai
chale jane ka gurur hai hume kyuki
apne hi sindur ko humne daan kiya hai ...........

Wednesday, October 6, 2010

ruthe yaar ko manane chali hu

ruthe yaar ko manane chali hu
us raah me apni manjil paane chali hu ............

Tuesday, October 5, 2010

Yadein bhi na de saku afsos hai muje

Tune ruswa kiya hai pyar me muje
Beparwah kiya har rah par muje
Yadein bhi na de saku afsos hai muje
Kyuki tune unme bhi anjaan kiya hai muje ..........

Hum to shamil hi na the teri mohabbat k afsaano me kabhi

Hum to shamil hi na the
Teri mohabbat k afsaano me kabhi …
Vafa ki umeed tujse thi bhi nahi
Chalo bewafai hi sahi tune koi jagah to di muje …..