Wednesday, September 22, 2010

not mine

main tufaano main chalne ka aadi hu
tum mat meri manjil asaan karo ...

hai phool rokte ,kaante muje chalate
marusthal ,pahadh chalne ki chah badhate ..
sach kahta hu jab mushkile na hoti hai
mere pag tab chalne main bhi sharmate ...
mere sang chalne lage hawayein jisse
tum path k kan kan ko tufaan karo......

main tufaano main chalne ka aadi hu
tum mat meri manjil asaan karo ...

pholo se jag aasan nahi hota hai
rukne se pag gatiwan nahi hota hai
avrodh nahi to sambhav nahi pragti bhi
hai nash jaha nirmam vahin hota hai
main basa sukun nav swarg dhara par jisse
tum meri har basti viran karo ..

main tufaano main chalne ka aadi hu
tum mat meri manjil asaan karo ...

main panthi tufaano main rah banata
mera duniya se kewal itna nata
vah muje rokti hai avrodh bichakar
main tokar use lagakar badta jaata
main thukra saku tumhe bhi hanskar jisse
tum mera man manas pashann karo

main tufaano main chalne ka aadi hu
tum mat meri manjil asaan karo ...

No comments:

Post a Comment