Wednesday, September 8, 2010

jeene ki vajah bhul gaye ....................

Tujhse door kya huye,Hum muskurana bhool gaye
Zinda to hai par jeene ki ada bhool gaye...

Chalte-Chalte manzil par pahunch hi jaate,
par Aakhiri Mukhaam par hi the ke,Manzil ka Pata bhool gaye...

Na jaane kis baat par hum rote rahe yuh tadap-tadap kar,
Dekh meri deewangi,aaj rone ki wajeh bhi bhool gaye...

Bewafai ka ilzaam de gaya woh shaks kuch iss tarah,
ke ab Waffa kya hai??? Waffa ke maayne bhi bhool gaye...

Tujhse Door jaane ka kabhi socha bhi na thapar ab jo door hue,
tere paas vaapas aane ka raasta bhool gaye...

kuch beete huye palo ne diye hai chot kuch is tarah,
ke ab iss jism mein kuch ehsaas zinda hai bhi ya nahi,bhool gaye...

Band palkon se tujhe aaj bhi dekhte rehte hai Jaante hain,
kuch haasil nahi iss dard-e-safar mein,par anjaam ke khauf se khud ko darana bhool gaye...

gham aur dard se rishta kuch yuh jam sa gaya hai apna
ke ab muskurana bhool gaye.....

No comments:

Post a Comment