Saturday, January 8, 2011

pyar nibhana mera tere bas me na tha

teri bewafai ko maaf karna jb b chaha
tune ek gunah aur kar diya
teri ruswai ko jb b mitana chaha
rishton pe mere tune sawal khada kar diya

nibha na saki pyar tera jis ek pal b kabhi
bus vo ek pal to muje ginaaya hota
nibha saka na pyar kbhi tu tera
jhute muh hi kabhi use apnaaya to hota

pyar nibhana mera tere bas ka na tha
karta jo roshan muje tu vo savera na tha
tuje to bus ek naye rang me rang jana tha
bus apni abhilaasha ko purn kar jana tha.

No comments:

Post a Comment