Saturday, August 11, 2012

muskaan ne akhiri ab farz bhi nibhaaya


ye kaunsa vo rishta hai ,jiska na taar koi baaki
girta hai jab jab mera aansu ban ke raat bhar

sochti hu subah ab rahega na mere jeevan me vo pyar
raat bhar kal gujaari maine sang tere aansuon ke jo mere yaar

na ismaran tera mujme ,na yaadein hai ab teri
phir kyu zikar tera rula deta mujhe har baar

daaman me apne cheetein ,khush rahkar sahe hai maine
phir kyu teri kadwi baton se dil dukhta har baar mere yaar

jo chaha tujhko vo de diya tujhe maine
nafrat se khudse dur tujhe kiya hai maine

na zikar koi baaki mera rahe tujhme,
gujre un lamhon ki na vo dastaan ho tujhme

na tadhpe tu us pashchaatap ki agni me
na roye teri aankiya us meera ki bhakti me

main teri nafrat ko bhi apne seene se laga lungi
sar aankhon pe tere labzo ko bhi apna bana lungi

main ye jaanu dil tera ab bhi rota hai
tera har ek pal aaj bhi kyu mujhme basta hai

mere maathe ka sindur tu sada bankar rahega
mere dhruv ka vo chamkta tara tu hi hoga

dukhaya hai dil tera ,ye jarurat thi teri
us kanha ke jeevan me na kismat thi meri

pyar jo tera bin chahat maine paaya
tere dhruv ne firse mujhe jeena hai sikhaaya

khushiya ab teri paa li hai tune
is jahaan me muskaan ne akhiri ab farz bhi nibhaaya...........

No comments:

Post a Comment