Saturday, June 16, 2012

kamjor kar diya tune khudko

Ishwar ne bheja ek farishta ,ja use muskaan tu de de
aaya meri duniya me jo ,takdeer meri chala badalne


sachai na kabhi chipi hai ,raah apni vo khoj hi leti
jhutla de mere rishte ko tu,khushiya tujhe ab tabhi milegi


to kya gar hawas main apni ,maa ka apni tune sheesh jhukaya
teri usi hawas ke khatir teri maa ne duja tera byaah rachaya


aaj din mere bete ka hai ,jisko maine tujse paaya
sansaar tera basaane ko jab,mere bete ne bhi hath badhaya


apni maa ki khokh me usne ,pita ke sar pe sehra paaya
aankhe khulte hi sansaar me,khud ko usne bus akela paaya


kya main shikwa karu tuje ab ,sang tere main bhi shaamil hu
gunaah tere chipa kar maine ,sindur ka bhale farz nibhaaya


bhukh hawas ki mita ke tune,bewafa bhi mujhe thahraaya
tere shabdon ki mohtaaz nhi main ,tune insaan bhi khudme na paaya


chavi na teri use main dungi,parwarish aesi usne paayi hai
sar utha ke jeeyega jag me ,mere bete ne meri mamta paayi hai


tujhse bus main itna bolu,muskura jo raha hai ab tu
ek bar tujhme gar dum hai ,sachai meri na tu jhutlana


kanhaa ki meri chavi thi tujhme ,ishq ki vo ibaadat thi tujhme
gairo ke jo kisse suljhaata ,aansu jo sabke ponch jaata


kaha gaya mera kanhaa ab vo,ya sach me tha pal bhar ka bhram vo
hawas me apni tu  na itna gir jaana ,na mujhko tu anjaan batana


apni jhuti shan ke khatir ,mere apno ko tune bahut rulaaya
dil mera tujhko maaf bhi kar de , aansu gawara nhi mujhe karte


rasmo ki holi na kheli maine,tere ansh ko badha kiya h maine
kya vo pal tera bhi na tha ,kya tu kisi maa ka beta na tha


phir kyu tu bhaga farz se apne ,maine to tujhko roka bhi na tha
kamjor kar diya tune khudko ,main kya lautaau muskaan teri tujhko


dil ye tera bhi rota hai ,gham ko mere vo bhi jaane
to kya gar tune na nibhaya,mujhko to har farz nibhana



preet piya ki ,prem pita ka,tujse koi aas na rahe
na jaane kyu us diggaj me ab ,mere vo ahsaas na rahe
                                                                                                  

No comments:

Post a Comment