Saturday, August 13, 2011

Na Lazzit ise E -insaan tu karna

rakshabandhan bhai aur bahan ke aseem prem ka parv mana jaata hai...lekin adhunik samaj me is bandhan ke badalte parivesh ko maine dekha hai jise dekhkar main yah post likhne ko badhya hu....ye shabd kisi bhi bhai bahan ke liye nahi hai...ye sirf aur sirf adhunik samaj me badalte huye parivesh ko lekar maine likhe hai .....maine ek istri aur purush ke prem ke rishton ko dekha tha .vahi prem jo ek premi aur premika me hota hai ,lekin samaj ke un thekedar ne apne us prem ko chipane ke liye us bandhan ko bhai bahan ka naam de diya ,,isi sankuchit vichardhara ko lekar man me ye shabd ubhar aaye hai mere ..........main yahi kahna chahti hu ki insaan kabhi bhi apne ek rishte ko chipane ke liye dusre paavan bandhan ka apmaan na kare........samaj ke aese logo ke liye ye meri ek aawaj hai.....

bhai bahan ke rishton ko koi badnaam na karna ,
himmat hai to sache apne rishton se pyar karna ,

ye bandhan hai Bali ,Laxmi ka
Yam,Yamuna… ..Karnavati, Humayun ka,


Hawas ki apni bhukh me padh ke
Na Lazzit  E -insaan tu  karna,

Kyki ye bandhan nahi hai laila ,majnu ka

ye bandhan nahi hai laila ,majnu ka........

ye to kanhiya draupdi ka
maryada iski tu par na karna,

Na Lazzit ise E -insaan tu  karna
Na Lazzit  ise E -insaan tu  karna

1 comment:

  1. I would very much agree to you, on this concept.. There are lot many couples that mask their love as siblings , and then .. so much so tat at times the pure brother-sister relationship is seen with suspicious eyes ..

    ReplyDelete