Thursday, May 21, 2009

kuch kwab aur kuch haqiqat


Ye jivan kya hai ,
kya hai iski haqiqat in sawalo k jawab jab mene us khuda se mange
to Ek din khuda ne mujse kaha
Jise tu manjil samaj rahi hai,vo to ek sahil hai
Jise tu pyar ka dariya samaj rahi hai ,vo to barish ki chand boonde hai
Jisme tu meri parchai khoj rahi hai ,vo to ek pathar ki murat hai
Jisme tu apna har sach dekh rahi hai ,vo to ek adhura sapna hai
Vo sach to hai par vastvikata nahi
Us khuda ne har pal samjhaya ,har ek rah par rasta dikhaya
Muje roka usne ,toka usne ,bahut samjhaya bhi usne

Mene kaha e khuda
Agar vo meri manjil nahi ,to unhi raho par chalungi ….tum bus ye rah kabhi khatm na hone dena
Agar vo barish ki boonde hai to use pyar ka dariya samaj k apni aankho me bansa lungi…..tum ye tufaan kabhi thamne na dena
Agar vo tumhari parchai nahi ,to bhi us pathar ki murat ki puja karungi …tum meri astha par bharosa rakhna
Agar vo adhura sapna hai to unki bahon me is tarah sar rakh kar so jaungi….tum bus meri subah mat hone dena
Vo sach hai ,vo jo bhi hai ,jesa bhi hai ,muje tumne hi unse milwaya hai
Wo to mere liye tumahara ek chamtkar hai
Wo to mere liye mera bhagwan hai
Uska diya har gum muskura kar ab sah lungi main
Uski berukhi ko bhi apni kismat bana lungi main

Tum bus itna karna mere liye …………
Unko yaad kar saku ,ye haq mujse mat chin.na
Tum apna diya ye ashirwad mujse mat chin.na
Tumhari di huyi pahchan hai ye,tum mujse meri pahchan mat chin.na
Jise dil se apnaya hai mene ,mere dil ki us chahat ko mujse mat chin.na



No comments:

Post a Comment