Friday, November 26, 2010

Tabaah hua hai phir se ek ghar aaj bhi

Hua khatam ye safar akhiri
Huyi khatam ab grahan raatri
Ghadi rah ki ab khatm huyi teri
Maa tuje milne aayi hai teri


Khushiya to chayi har taraf  aaj bhi
Khuda hi jaane ye  uska pal aaj bhi
Na jaane kitne tabaah huye un haaton
Na hua malal phir bhi ek muskaan aaj bhi

Ek ek gujre raho me tere
Na miti teri hawas ki vo bhukh aaj bhi
Ek rishta pavitra apmanit jo hua
Us dharmraj k hathon lajjit bhi hua


Na chehre pe uske shikan aaj bhi
Taak raha ek nayi dagar aaj bhi
Ya khuda Na de kisi ko aesa jigar aaj bhi
Tabaah hua hai phir se ek ghar aaj bhi......

No comments:

Post a Comment