Tuesday, August 3, 2010

kuch afsaane


shayar family ki is duniya me jab kadam rakha tha yaha k har shaks se anjaan thi...yaha sab kuch mila jiski talaash thi ...ishq ibadat ki duniya me bitaye har ek pal ek sunahri yaad ban gaya .....jin hatho ko thame is duniya me kadam rakhe the ...unhi ne yaha lakr anjaan jesa kar diya ......

dua hai ye pariwar hamesha yuhi pyar bhari khushiyo se mahkta rahe hamesha .....shayar family k liye bhawna ki yahi dua hai dil se

..........................................


chahto ko apne ahsan jesa kar diya
in mahakte phoolon ko bejaan jesa kar diya ....

jindgi ko hum paheli ki tarah karte the hal
ek bache ne use muskaan jesa kar diya ....

hum jise apna mukaam samajte the usme ek din
maut ne aakar hume mehmaan jesa kar diya .....

sahibo!!!vo puchte hai apka dil kya hua
Husn ne ek shokh ko nadan jesa kar diya ......

Vo jo apne daur me gulshan tha ,usko waqt ne
Mukhtasar itna kiya guldaan jesa kar diya ................



with lots of love

No comments:

Post a Comment