Monday, October 18, 2010

kyu itni majbur hoti hai ye MAA


Kyu akhir kyu
Kyu itni majbur hoti hai
Ye Maa

Subah ki pahli kiran me
Aaj bhi tuje khojti
Ye maa

Un mahakti kaliyon ke
Pragkano me tujhe khojti
Ye maa

un phoolo ki khusboon
me aaj bhi tuje khojti
ye maa

apni maa ke aanchal me
apni mamta ko khojti
ye maa

taaron ki us roshni me
sirf us ek sitaare ko khojti
ye maa

patjhad k sukhe patthon me
ek hariyaali ko khojti
ye maa

har nanhi muskaan me
teri vo muskaan khojti
ye maa

kalrav karte panchiyon ki
farfarahat me tuje khojti
ye maa

aouns ki un boodon pe
ek jugnu ko khojti
ye maa

andhiyaari un raaton me
us chanda me tuje khojti
ye maa

Duniya ki bidh me bhi
Kyu uske bin akeli hai
Ye maa

Saham jaati hai jab
Yaad teri aati hai
Ye maa

har ek pal hare ek saans
sirf tuje yaad karti
ye maa

samaaj k un tekedaaron se
sawal karti hai aaj
ye maa

Kyu akhir kyu
Kyu itni majbur hoti hai
Ye Maa
...................................................


No comments:

Post a Comment