Thursday, February 19, 2009

Sabse chupa ke dard jo vo muskura diya


Sabse chupa ke dard jo vo muskura diya
Uski hansi ne to aaj mujko rula diya
lahje se uth raha tha har ek dard ka dhua
chehara bata raha tha sab kuch gava diya
aawaj me tharav tha aankhon me nami
aur kah raha tha mene sab kuch bhula diya
jane kya usko logo se thi shikayatein
tanhaiyo ke desh me khud ko basa diya
khud bhi humse bichad kar adhura ho gaya
mujhko bhi itne logo me tanha bana diya ......

h ishwar is duniya me sacha pyar bahut kam milta hai ,
koshish karna pyar ki is paribhsha se judai shab hi juda hojaye ....
aur pyar agar sacha ho to do juda dil mil jaye..........




No comments:

Post a Comment