haqiqat to uski jaan li ab maine
shaksiyat bhi uski pahchaan li ab maine
dil ki dhadhkan ne uski pahchaan to liya mujko
dekhna ab mujhko kya vo jaan lete hai
pyar ka uske imtehaan ab ye hai
khub nibhaaya humne ,aaj bhi pran dete hai
ishq ibadat jo khta hai vo khud ko
us ishq ka jara hum imtihaan lete hai
kaash ki tu jaan paata is dil ko e mere humdum
khud ko gira kar bhi hum tera hi gungaan karte hai
tere gunaahon ka koi mol to nhi humdum
unhe apne sar lekar bhi tuje anjaan karte hai
seene pe pathar rakhke deti hu nafrat main ye tujhko
tu kya jaane is dil me ab bhi mere bhagwan baste hai
tu kya jaane is dil me ab bhi mere bhagwan baste hai
na deti gar ye nafrat tujko na farz tu apne nibha paata
ishwar ki is galti me mujhko na kabhi tu bhula paata
khud ko gira najro me teri itni dur ho jaaungi
na tadap vo phir se ,na afsos ho mera ,tuje aesi jindgi de jaaungi
haan apne ishq pe hum khud ko kurbaan karte hai
chanchal jara hai man phir bhi ,uska maan rakhte hai
No comments:
Post a Comment