muje hamesha se chand ko dekhna bahut acha lagta tha ,jab bhi bhagwan se bateein karti us chand me apne ishwar ko dekhti...waqt ke sath sath us chand ne aesa naata joda mujse ki chandni ban uski sama gayi main usme........mere shabdon ka vo mohtaj hi na tha ,meri dhadkan se muje pahchan leta vo.aadhi raaton me mere sang jaaga bhi vo,subah badloon me chip kar sang mere muskuraata bhi vo....us chand me maine apni duniya ko dekha hai ,par apne chand ke us daag ko bhi maine dekha hai
Apne chand pe us daag ko maine dekha hai
Apne chand pe us daag ko maine dekha hai ..
Apne chand pe us daag ko maine dekha hai ..
Baadlo me jo chip raha ab talak
Lukaa chipii karte usko maine dekha hai….
Khule asmaan me jo roshan tha ab tak
Amaawas ki kali raat me
chipte use maine dekha hai ..
Aesa nahi ki kala andhiyaara hi tha jeevan main uske
Poonam ki chandni ban usko thirakte huye bhi maine dekha hai
Taaron ke rup me paayi thi jo bahne usne
Sang unke bhi khushiya manaate huye use maine dekha hai
Charkha chalatii hai nani jis jahaan main
God me maa ke sar rakh ke usko bilakhate huye maine dekha hai
Chanda maama kahkar bulaate jo bache usko
Diva aur Divit sang khud baccha bante use maine dekha hai
Bhukhe us pyar ki talaash thi jisko
Bhatakte huye chanchal uske mann ko maine dekha hai
Ek ishaare par us chand
ke apne
Dum todhte apne us jism ko maine dekha hai
Chand mera jo noor tha chehre ka mere kabhi
Grahan ki us raat me lipat nirvastra usse khud ko fana hote
maine dekha hai
Kabhi premika ,kabhi sangini uski to kabhi maa ban gayi main
uski
Uski khushiyon ke liye khudko tabaah hote maine dekha hai
Paanv mere ab bhi the zameen par hi
Par kosoon dur se bhi dil me uske utar ke maine use dekha hai
Duniya ko roshan karta jo raakh ho gaya jeevan me apne
Mere chand ke us dard ko maine dekha hai
uske dard ko maine dekha hai …..
haan uske har dard ko maine dekha hai...
No comments:
Post a Comment