Maa ne muje har kadam samjhaaya
Kadwa tha par ek sach batlaaya
Sath pita ka har pal mere tha
Ek dost ban mere mera sath nibhaaya
Mere Apno ka bhi hath tha sar par
Har ek sach ka muje hai gyan karaaya
Pyar mera andha to na tha
Sach kabhi mujhse chipa hi na tha
Ashkon ko main apne seene me chipaati
Par sang uske sada muskaati
Khushi jahaan ki laa du usko
Phoolon sa mahakta mera ishq ho
Jaan nikal jaati thi us pal
Ghamon me ghut.ta jab vo us pal
Mere ashkon ka saagar na rukta
Dua me har pal ye hath tha uth.ta
Kahte hai nhi sah paati naari
Pyar ko apne vo baant na paaye
Par jaane kaisa ye pyar tha mera
Dil khol ke jaane diya use maine
Pyar ye pahla jaan hai uski
Zholi failaaye bheekh thi maangi
Kaise is aur rukh karti vo
Pari des ki vo
shahjaadi
Juda hua mera ishq tha usse
Tadap se uski main thi marti
Aa jaa shona tera yaara ye hai
Bilakhte isko main dekh nhi sakti
Milwana hai bus use pyar se uske
Duniya me uski kho gayi main aisi
Bhan na apna ,na hosh tha khud ka
Dub gayi main us gahre sagar me
Waqt tha badla,kiye waadein vo usne
Kahta na sath chodna tum mera
Khud se jyada tha naaz bhi us pe
Mera ishwar hai vo,jo satya hi bole
Par pyar ki mere manjil hi na tha
Maa papa ki main vo pari hi na thi
Kaise ishq se mere dur main jaao
Maa papa ka kaise maan nibhaau
Pagli si thi meri ye kahaani
Ek sindur ho uska,sang ho nishaani
Maa saraswati baithi ho juba pe
Mere ishq se ho gayi ek raat me shadi
Sindur maang me jab chada tha mere
Maano jee li maine duniya sari
Raat suhag ki kahu use kya
Na choda usne ek ang anchuaa
Do jism huye ek jaan the jis pal
ruh unki thi jab mujme thi samaayi
ye peedha meri unki khushiya thi jo
ek aah bhi muh se nikal na paayi
aankh se gire the aansu us pal
adharon ne unki pyaas bhujhaayi
chandra grahan sard raat thi us pal
mere ishq me jab main samaati jaayi
kaanpti jis pal sard hawa se thi main
baahon ki garmi me sama lete vo mujhko
khuli aankh me vo raat thi gujri
aagosh me sama gayi ishq ke
baahon ka unke vastra tha pahna
ang ang ka unke maine chaadar audha
band aankho me jee rhi duniya
har ghum se dono the anjaane
Milan ke vo pal the jo suhaane
Man muskaayamera ishq jo khush tha
Bikhre ja rahe kesh the jis pal
sanwar raho vo thame ungliyaan
Anchal tha mera smbhale na sambhle
Kya vo sunt.ta meri ,vo hath jo unke
Ek ek pal huye ja rha
ab bhari
Kaise roku is ishq ko ab main
Ahsaas use na is pal ka ab hai
Adharon se apne bujha rha pyas vo baaki
Pyar se usko na mila
main paayi
Par pyar se apne use purn to kar aayi
Aaj ho gayi main ishq ki apne
Aage jo ho kismet par apne
Mere pyar se uske har zakhm ko bhar du
Aanchal me apne usko samet lu
Aaj main sampurn hu naari
Pyar ki apni de gaya vo nishaani…….
mera ishq ne pura kiya is kadar
na rahi swarg ki chah bhi baaki ..
Athah pyar ka sagar vo tha
Chalak gaya ab uska pyar bhi baaki
So touching
ReplyDelete