Hua khatam ye safar
akhiri
Huyi khatam ab grahan
raatri
Ghadi rah ki ab khatm
huyi teri
Maa tuje milne aayi hai
teri
Khushiya to chayi har taraf aaj bhi
Khuda hi jaane ye uska pal aaj bhi
Na jaane kitne tabaah
huye un haaton
Na hua malal phir bhi
ek muskaan aaj bhi
Ek ek gujre raho me
tere
Na miti teri hawas ki
vo bhukh aaj bhi
Ek rishta pavitra apmanit
jo hua
Us dharmraj k hathon
lajjit bhi hua
Na chehre pe uske
shikan aaj bhi
Taak raha ek nayi dagar
aaj bhi
Ya khuda Na de kisi ko aesa jigar aaj bhi
Tabaah hua hai phir se
ek ghar aaj bhi......
No comments:
Post a Comment