Kyu akhir kyu Kyu itni majbur hoti hai Ye Maa Subah ki pahli kiran me Aaj bhi tuje khojti Ye maa Un mahakti kaliyon ke Pragkano me tujhe khojti Ye maa un phoolo ki khusboon me aaj bhi tuje khojti ye maa apni maa ke aanchal me apni mamta ko khojti ye maa taaron ki us roshni me sirf us ek sitaare ko khojti ye maa patjhad k sukhe patthon me ek hariyaali ko khojti ye maa har nanhi muskaan me teri vo muskaan khojti ye maa kalrav karte panchiyon ki farfarahat me tuje khojti ye maa aouns ki un boodon pe ek jugnu ko khojti ye maa andhiyaari un raaton me us chanda me tuje khojti ye maa Duniya ki bidh me bhi Kyu uske bin akeli hai Ye maa Saham jaati hai jab Yaad teri aati hai Ye maa har ek pal hare ek saans sirf tuje yaad karti ye maa samaaj k un tekedaaron se sawal karti hai aaj ye maa Kyu akhir kyu Kyu itni majbur hoti hai Ye Maa ................................................... |
Monday, October 18, 2010
kyu itni majbur hoti hai ye MAA
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment