ek haqiqat hai dosto jindgi ki jise shabdo me bayan kar rhi hu .....khadhe hai rah me aese mukaam par jaha manjil ka rasta bhi nhi hai ........isliye kya khoob kaha tha kisine sach ki dagar aasaan nhi hai ...............shayar family se gujarish hai kuch pal meri jo ye meri sanso se judhe hai ise sahej kar yaha rakhe ..tasalii hogi kuch yun hume ki humne unki baho me apna dum todha hai ................ Bewafai ka iljaam de gaya vo kuch is kadar Choti si duniya meri viraan ho gayi karke Jhuta ikarar e mohabbat mere ishq ki hasti bejaan ho gayi........... apne khwabo ki tabir k khatir mere chota sa sansaar ujaar diya tune yaad kar vo din tere ek ishare par apna sab kuch gavan diya tha maine........ chand asharfiyo aur husn k aage mere pyar ko tune nilaam kar diya maine to tuje sirf pyar kiya tha tune us pyar ka katal kar diya…. Kya kya na saha tere is pyar me humne Tune ek hi pal me ajnabi bana daala Kasur mera tha saja muje de deta Tune to apne hi khun ko mujse juda kar diya....... Yaad hai muje har ek pal Tere sath gujri raton k saaye Teri bahon ka vo haar Grahan ki vo raat Subah ki pahli shuruaat......... Tere saharein k vo phool teri ankho ki vo chamak tere vo pahle pyar ka intajaar Har ek pal har ek saans Jism ki ruh sab hai mere sath.......... Tune ek chutki sindur me Meri kismet ko badal dala Agle hi kshan me tune Kisi aur ko apna bana daala.......... Tu hi bata tere is rishte ko main kya naam du Tune to ajnabi kah diya Par mathe ki is lakeer ko kya rah du…. Maut se badtar saja hai Tere is pyar ki Aaj isse main apne naam kar du Gar ye bhi tera pyar hi hai to Dil k har zakhm ko gumnaam kar doon........ |
Saturday, October 9, 2010
Bewafai ka iljaam de gaya vo kuch is kadar
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment