tuje tamanna h samandar k us sahil ki,
kya registaan ki dhul me khila h phool koi
Kyu akhir kyu Kyu itni majbur hoti hai Ye Maa Subah ki pahli kiran me Aaj bhi tuje khojti Ye maa Un mahakti kaliyon ke Pragkano me tujhe khojti Ye maa un phoolo ki khusboon me aaj bhi tuje khojti ye maa apni maa ke aanchal me apni mamta ko khojti ye maa taaron ki us roshni me sirf us ek sitaare ko khojti ye maa patjhad k sukhe patthon me ek hariyaali ko khojti ye maa har nanhi muskaan me teri vo muskaan khojti ye maa kalrav karte panchiyon ki farfarahat me tuje khojti ye maa aouns ki un boodon pe ek jugnu ko khojti ye maa andhiyaari un raaton me us chanda me tuje khojti ye maa Duniya ki bidh me bhi Kyu uske bin akeli hai Ye maa Saham jaati hai jab Yaad teri aati hai Ye maa har ek pal hare ek saans sirf tuje yaad karti ye maa samaaj k un tekedaaron se sawal karti hai aaj ye maa Kyu akhir kyu Kyu itni majbur hoti hai Ye Maa ................................................... |
Chehre pe ek khumaar Labon pe vo ahssas Jab itna tha tuje uska intajaar To kyu kiya tha tune mujse itna pyar Na tha tuje muje pe aitabaar To kyu diya muje tune vo adhikar Humne tu tuje bheja tha uske paas Kyu na kiya phir us pe aitabaar Tune to bhula diya kah k ek bhul thi mere yaar Karta raha tu usi pyar ka intjaar Karta raha tu naye risto ki lalkaar Tu kyu diya muje apne bête ka vo pyar???????? Lauta de muje mere vo din har ek raat Mera vo pyar ka ahsaas Lakho hai teri rah me Tuje mil jayega tera yaar Bus tu lauta de muje mera khoya sansaar …………………….. is kalyug ki bhul bhulaiya me khoye vo mere sanwre sunder shyam |
tere aagosh me khud ko chipa rakha hai is kadar teri mahfil me hotoN ko see rakha hai is kadar cheete na padh jaye tere daman pe kahi .. teri khushiyo ko ankho me chipa rakha hai is kadar .. |
dur aasman me muskura rha sb dekh ,jo hai sbse roshan chamkta sitara.....dhruv tara... |
ek haqiqat hai dosto jindgi ki jise shabdo me bayan kar rhi hu .....khadhe hai rah me aese mukaam par jaha manjil ka rasta bhi nhi hai ........isliye kya khoob kaha tha kisine sach ki dagar aasaan nhi hai ...............shayar family se gujarish hai kuch pal meri jo ye meri sanso se judhe hai ise sahej kar yaha rakhe ..tasalii hogi kuch yun hume ki humne unki baho me apna dum todha hai ................ Bewafai ka iljaam de gaya vo kuch is kadar Choti si duniya meri viraan ho gayi karke Jhuta ikarar e mohabbat mere ishq ki hasti bejaan ho gayi........... apne khwabo ki tabir k khatir mere chota sa sansaar ujaar diya tune yaad kar vo din tere ek ishare par apna sab kuch gavan diya tha maine........ chand asharfiyo aur husn k aage mere pyar ko tune nilaam kar diya maine to tuje sirf pyar kiya tha tune us pyar ka katal kar diya…. Kya kya na saha tere is pyar me humne Tune ek hi pal me ajnabi bana daala Kasur mera tha saja muje de deta Tune to apne hi khun ko mujse juda kar diya....... Yaad hai muje har ek pal Tere sath gujri raton k saaye Teri bahon ka vo haar Grahan ki vo raat Subah ki pahli shuruaat......... Tere saharein k vo phool teri ankho ki vo chamak tere vo pahle pyar ka intajaar Har ek pal har ek saans Jism ki ruh sab hai mere sath.......... Tune ek chutki sindur me Meri kismet ko badal dala Agle hi kshan me tune Kisi aur ko apna bana daala.......... Tu hi bata tere is rishte ko main kya naam du Tune to ajnabi kah diya Par mathe ki is lakeer ko kya rah du…. Maut se badtar saja hai Tere is pyar ki Aaj isse main apne naam kar du Gar ye bhi tera pyar hi hai to Dil k har zakhm ko gumnaam kar doon........ |
ek khudgarj se humne pyar kiya hai uske har jhut pe aitabaar kiya hai chale jane ka gurur hai hume kyuki apne hi sindur ko humne daan kiya hai ........... |