Kismat main hua to milenge hum ek din ye to hamesha bataaya tha usne
badlega un hathon kismat ko vo mere ,aesa kuch man sa banyaa tha usne
rakhna tum apna khyaal hamesha,aaunga ek din kaha bhi tha usne
bandhna hai ek din bandhan me humko,ye soch sang mujko bulaaya tha usne
na juda hum dono,do jism ek jaan the,Milan vo aesa banaaya tha usne
kya dogi mera ansh mujhe meri jaana,aansu bhi aese bahaaya tha usne
maang teri saja di hai maine,dil me bhi apne basaya tha usne
chipa to na paaya ek raaz apne dil ka ,aaina ek aesa banaaya mujhe usne
majburi ke vo bandhan me bandhna tha usko ye to par kabhi bataaya na usne
pari ek anjaani laa di hai meri maa ne, sangini ab banegi ye bataaya na usne
apne hatho se sindur saja kar mujko kyu phir suhaagan banyaa tha usne
maa se milkar aata hu jaan e jaana ,ye kahkar man mera bahlaaya tha usne
na aaya ,na uski khabar phir kabhi aayi,ye kaisa rishta banayaa tha usne
intaazar me thakti nhi meri aankhein,dil se bhi lagta nikaala ab usne
girte the aansun tadpata tha vo bhi ,aaj badha hi rulaaya hai usne
rakhna tu usko khush tu hamesha,e khuda,mera ghar aakhir basayaa hai usne …..
No comments:
Post a Comment