rakshabandhan bhai aur
bahan ke aseem prem ka parv mana jaata hai...lekin adhunik samaj me is
bandhan ke badalte parivesh ko maine dekha hai jise dekhkar main yah
post likhne ko badhya hu....ye shabd kisi bhi bhai bahan ke liye nahi
hai...ye sirf aur sirf adhunik samaj me badalte huye parivesh ko lekar
maine likhe hai .....maine ek istri aur purush ke prem ke rishton ko
dekha tha .vahi prem jo ek premi aur premika me hota hai ,lekin samaj
ke un thekedar ne apne us prem ko chipane ke liye us bandhan ko bhai
bahan ka naam de diya ,,isi sankuchit vichardhara ko lekar man me ye
shabd ubhar aaye hai mere ..........main yahi kahna chahti hu ki insaan
kabhi bhi apne ek rishte ko chipane ke liye dusre paavan bandhan ka
apmaan na kare........samaj ke aese logo ke liye ye meri ek aawaj
hai.....
bhai bahan ke rishton ko koi badnaam na karna ,
himmat hai to sache apne rishton se pyar karna ,
ye bandhan hai Bali ,Laxmi ka
Yam,Yamuna… ..Karnavati, Humayun ka,
Hawas ki apni bhukh me padh ke
Na Lazzit E -insaan tu karna,
Kyki ye bandhan nahi hai laila ,majnu ka
ye bandhan nahi hai laila ,majnu ka........
ye to kanhiya draupdi ka
maryada iski tu par na karna,
Na Lazzit ise E -insaan tu karna
Na Lazzit ise E -insaan tu karna
bhai bahan ke rishton ko koi badnaam na karna ,
himmat hai to sache apne rishton se pyar karna ,
ye bandhan hai Bali ,Laxmi ka
Yam,Yamuna… ..Karnavati, Humayun ka,
Hawas ki apni bhukh me padh ke
Na Lazzit E -insaan tu karna,
Kyki ye bandhan nahi hai laila ,majnu ka
ye bandhan nahi hai laila ,majnu ka........
ye to kanhiya draupdi ka
maryada iski tu par na karna,
Na Lazzit ise E -insaan tu karna
Na Lazzit ise E -insaan tu karna
I would very much agree to you, on this concept.. There are lot many couples that mask their love as siblings , and then .. so much so tat at times the pure brother-sister relationship is seen with suspicious eyes ..
ReplyDelete