Friday, August 26, 2011
Monday, August 22, 2011
badal ko chune ki chahat to thi,
badal ko chune ki chahat to thi,
udne ka armaan nahi tha magar,
de diya mujhko ek ajnabee aasman,
mere pairon se meri jameen chinkar....
happy janmashtmi
dahi ki handi,
barish ki fuhaar,
murli ki taan,...
muskaan ki bahaar,
maakhan churane
aaye mere nandlal...
mubarak ho ap sabhi ko janmashtmi ka tyohaar :)
Saturday, August 20, 2011
Ishq Ibadat
hauslein buland ,sachai meri dhaal hai
uth.te nhi mujhpe ,aaj tujpe hi sawal hai
dilkash pari ki tadap ne kiya mujhe hi badnaam hai
sar jhuka chipte nahi ye ishq ,mohabbat ,pyaar hai
jhuti teri shaksiyat, har shabd bemisaal hai
gyani vo dharm ke ishq ibadat mere yaar hai..
Tuesday, August 16, 2011
Beshaq chipa liya gunah tune tere hi apno se
Beshaq chipa liya gunah tune tere hi apno se
Beshaq de diya daga tune risthon ko magar
Beshaq tera ye karm benakaab na hoga kabhi
Na bhulna ..ishwar ke aage har nakaab bekaar hai ...
na koi muskaan ho
tham jaaye ye tufaan jaha aesa bhi koi sahil ho
ujdhe huye gulistaan me phoolon ki si mahak ho
na pyar ho ,na nafrat uski ,na hi koi chahat ho
ibadat pe uski jo parvaan chade,na koi muskaan ho
Monday, August 15, 2011
Sunday, August 14, 2011
jab bhi paaya ishq me tuje tadhapta hi paaya
jab bhi paaya ishq me tuje tadhapta hi paaya,
kanhi farz to kanhi teri trishna ko paaya,
maa ki jhuti un kasmon me,pyar bhare tere hathon me,
har shabd me tere; humne apna kafan paaya...
Saturday, August 13, 2011
Na Lazzit ise E -insaan tu karna
rakshabandhan bhai aur
bahan ke aseem prem ka parv mana jaata hai...lekin adhunik samaj me is
bandhan ke badalte parivesh ko maine dekha hai jise dekhkar main yah
post likhne ko badhya hu....ye shabd kisi bhi bhai bahan ke liye nahi
hai...ye sirf aur sirf adhunik samaj me badalte huye parivesh ko lekar
maine likhe hai .....maine ek istri aur purush ke prem ke rishton ko
dekha tha .vahi prem jo ek premi aur premika me hota hai ,lekin samaj
ke un thekedar ne apne us prem ko chipane ke liye us bandhan ko bhai
bahan ka naam de diya ,,isi sankuchit vichardhara ko lekar man me ye
shabd ubhar aaye hai mere ..........main yahi kahna chahti hu ki insaan
kabhi bhi apne ek rishte ko chipane ke liye dusre paavan bandhan ka
apmaan na kare........samaj ke aese logo ke liye ye meri ek aawaj
hai.....
bhai bahan ke rishton ko koi badnaam na karna ,
himmat hai to sache apne rishton se pyar karna ,
ye bandhan hai Bali ,Laxmi ka
Yam,Yamuna… ..Karnavati, Humayun ka,
Hawas ki apni bhukh me padh ke
Na Lazzit E -insaan tu karna,
Kyki ye bandhan nahi hai laila ,majnu ka
ye bandhan nahi hai laila ,majnu ka........
ye to kanhiya draupdi ka
maryada iski tu par na karna,
Na Lazzit ise E -insaan tu karna
Na Lazzit ise E -insaan tu karna
bhai bahan ke rishton ko koi badnaam na karna ,
himmat hai to sache apne rishton se pyar karna ,
ye bandhan hai Bali ,Laxmi ka
Yam,Yamuna… ..Karnavati, Humayun ka,
Hawas ki apni bhukh me padh ke
Na Lazzit E -insaan tu karna,
Kyki ye bandhan nahi hai laila ,majnu ka
ye bandhan nahi hai laila ,majnu ka........
ye to kanhiya draupdi ka
maryada iski tu par na karna,
Na Lazzit ise E -insaan tu karna
Na Lazzit ise E -insaan tu karna
Wednesday, August 10, 2011
tabaah kar gaya vo shahjada
har bandhan har rasmon ko nibhata,
aayega ek din vo shajada,
sapna tha mera b aesa,
par tabaah kar gaya vo shahjada.
bin kahe jana kya farz tha tera?
ishq mera mohtaj nhi tere shabdo ka magar,
in rishton ko nibhana to haq tha tera
do bol pyar k mange bhi na maine,
par bin kahe jana kya farz tha tera?
in rishton ko nibhana to haq tha tera
do bol pyar k mange bhi na maine,
par bin kahe jana kya farz tha tera?
aaj tune mujhe phir rulaaya hai
kyu tere gunahon ka muje phir khyal aaya h,
bewafai ne teri aaj muje phir rulaya h..
kese gujarta vo dohri tu saasein teri
mere
ishq ko is kadar maine majbut banaya h,
na afsos na koi pashchatap ab
isme paaya h,
kese gujarta vo dohri tu saasein teri,
yhi soch humne apna
astitva ganwaya hai..
Saturday, August 6, 2011
preet piya ki jag se pyari
preet piya ki jag se pyari,
tujh par jaau main balihari,.
jeet piya ki mohri jeet bhaii,
sang piya ke mohe haar bhi pyari..
tujh par jaau main balihari,.
jeet piya ki mohri jeet bhaii,
sang piya ke mohe haar bhi pyari..
Subscribe to:
Posts (Atom)