Shayron ki ye mahfil meri duniya hi na thi
Tumne e mere yaar muje ye kya baana diya
Na pyar tha jindgi me na ehsaas the koi
Tere ehsaason ne jaane kya jaadun kiya mujpe
Bewafaai se tere kabhi anjaan main na thi
Par khushiyon pe teri sada kurbaan thi main
Waqt ek vo bhi tha jab shabdon ka ye manjar
Na bus ka tha mere,na judi thi main inse
Bahoon me apni thaame tum laaye muje yaha par
Ghar ban gaya vo mera,jo mahfil thi teri
Sukun ke vo pal the,jo teri yaadon me bitaati
Bus tujhiko hi main padhti,tujhi ko sunaati
Kya khub the vo din bhi pahle tere vo pyar ke afsaane
Khandala ki un waadiyon me main tujhko sunaati
Aankhon se girte aansun,sahmi meri awaaj ko main tujse chipaati
Sunna mere ishq ko vo gujra taraana, soch apne armaan main khud me chipaati
Tu to chala gaya apni ye yaadein deke mujhko
Paane ki laalsa thi bus ek parri ki jo tujko
Aayi thi jab sang main tere is mahfil me
Baahon me thi main tere,band ankhon se tere dil me
Ghut rhi ,dum todh rhi hu .. ab main teri is mahfil me
Wapas kaise jaau ,na dagar ka pata hai
Har shaks yaha hai jhuta,mukhauta chada hai
Seene me jo apne gunaaho ko chipa raha hai
Phir bhi na jaane kyu aaj bhi dil sirf tujhi ko manta hai
Khadi hu aaj bhi vahi par,na raasta hai koi
Kal jab mera ek aansun tha girta ,tadap me uski tera dil bhi dukhta
Aaj jab ye aansun tere hi diye hai,to kyu inka tujko ahsaas nhi hai
Dil to tera aaj bhi mujse anjaan nhi hai,
Phir kyu aaj tu khaamosh hai e yaara
Maana main teri vo chaahat na thi lekin
Tu jaane mere us pal ki pahchaan to tu hi hai
Baahein bhi ab meri dam todhne lagi hai
Saasnein bhi ab meri thamne si lagi hai
God. ko tune meri apne phoolon se hai khilaaya
muj pagli ko hi tune hai apnaa banaaya
nanhe nanhe kadmon se kaha use leke jaau
kaise ab e ishq main use apna baanaau …
janmdaata hai tu to teri is mahfil ka
tu gyaani hai dharm ka,insaan jo sabse uncha
isse pahle toot ke main dafan ho jaau teri mahfil me
le jaa mujhe yaha se ,koi rasta dikhaa de
dum ghut rha yaha par,na saansein li hai jaati
e ishq mere mujhe mera mukaddar tu dhikha de
maana k aaj tu masruf teri duniya me
par kaise tu bhul gaya ye duniya bhi to teri
mere is phool ka bhi tu hi hai maali
murjhaati in kaliyon ko aaj tu bacha le
sisak rhi hai ruh meri is andheron me
dar lag raha hai mujko ,bin tere ye kya jahaan hai
dubak ke ek usi kone me hu main baithi …
ishq aayega ek din .le jaayega muje bacha ke
bharosa hai mujhko apne ishwar pe sada se
mera ishq ek din bacha lega mujhe is jaahaan se
haan mera ishq ek din mujhe nikaalega is tufaa.n se
haan mera ishq ek din mujhe nikaalega is tufaa.n se