kya kahu,kese kahu aur kis se kahu ye jindgi ab tumhare bina adhuri si lagne lagi hai mere daman ko khushiyo ka nahi hai malal kyuki gum ka khajana ise beshumar mila hai aya jo khushnuma jindgi me ek tufan jo har ek rah par tinka tinka bikhar gaya vo to chala gaya par ab me kyu khamosh hu???? jindgi me phir se khushiyo ki bahar aayi jab khuda ne apne ek farishte ko bheja unke sath rah kar apne dukh bhul gayi thi main Pyar kya hai ?ye unhone muje sikhlaya hai Pyar ka har ek ahsaas unhi ne muje karaya hai Pyar kya hai ye to me nahi janti Par aaj vo hi mere bhagwan hai Dil ki har ek dhadhkan ,Dil ka ek armaan hai Mera dil sirf unhi ko chahta hai Vo Pyar hai mere ,Vo puja hai meri Vo ibadat hai meri ,Vo hi mere shrike kuran hai Vo geeta hai ,vo ramayan hai meri Har ek saans meri ,har ek aas meri bus unhi ka hi naam hai Vo hai to main khush hu ,vo hai to main hu Unke sath hu to duniya se bhi ladh lungi main Unke paas hu to bhagwan ka ahsaan hai ....... De jo ek mauka vo muje unke jivan me bhi khushiyo k rang bhar dungi main Unke har ek rishte se mujhko pyar hai Vo hi ab meri pahchan hai E khuda dena tu itni himmat muje de saku muskurahat main unhe kyuki ab vo hi mere bhagwan hai ................. e khuda mangti hu tujse bus yahi dua jab is duniya se hau main vida is tan ko mile kandha unka aur mang me sirf unhi k naam ka sindoor ho sada ....... Jab koi humse dur jata hai tab uski ahmiyat ka ahsaas hota hai... aapko gaye kuch hi pal huye hai.........ek ek pal nikalna mushkil ho raha hai ....... |
Friday, February 20, 2009
luv u forever
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment