Spno bhara apna main ghar sajaungi Chahat k pholo se ye ghar mahkaungi Chand k tukdo se sajegi bagiya humari Pyar hi pyar bus hoga us jahan me …… Salo lambi judai hogi Phir bhi vo pyari hogi Kerenge sada intjar bus tumhara Hath tham kar le jana humara Chota sa vo tara hoga Apni maa ka dulara hoga Papa ka bhi pyaara hoga Sapno se bhi nyara hoga Badi masumiyat se jo aaj kah diya tumne is Dil ko na jane aaj kesa karar aa gaya ……… aarjuo k gul muskurane lage jese sapno k mere ghar me mera bhagwan aagaya ............ with lots of luv n affection |
Wednesday, February 25, 2009
MERA GHAR EK SAPNA
Monday, February 23, 2009
thodi dur to sath chalo
Kathin hai rah-guzr, thori dooR sath chalo bohut lamba hai safar thori dooR sath chalo tamaam umr kahan koi sath dai-ta hai yeh janti hooN magar thori dooR sath chalo Nashe mein choor hooN mai bhi tumhein bhi hosh nahin baRRa maza ho agar thori dooR sath chalo yeh aik shub ki mulaqaat bhi ghaNimat hai kise hai kal ki khabr thori dooR sath chalo abhi to jaag rahae hein chiragh rahooN ke abhi hai dooR sahar thori dooR sath chalo........... e khuda hath ki lakir,na koi badal paya hai na kabhi koi badal payega.... tu lakh koshish kar le magar ye chehara humesha phulo ki tarah dusro ko hi mahkayege............. |
Sunday, February 22, 2009
such good thing in life
TREAT EVERYONE WITH POLITENESS
EVEN THOSE WHO ARE RUDE TO YOU,
NOT BECAUSE THEY ARE NOT NICE
BUT BECAUSE YOU ARE NICE.......................
NEVER SEARCH YOUR HAPPINESS
IN OTHERS
WHICH WILL MAKE YOU
FEEL ALONE,
RATHER SEARCH IT IN YOURSELF
YOU WILL FEEL HAPPY
EVEN IF YOU ARE LEFT ALONE......................
ALWAYS HAVE
A POSITIVE ATTITUDE IN LIFE.
THERE IS SOMETHING POSITIVE
IN EVERY PERSON.
EVEN A STOPPED WATCH IS RIGHT
TWICE A DAY...................................
HAPPINESS ALWAYS LOOKS SMALL
WHEN WE HOLD IT IN OUR HANDS.
BUT WHEN WE LEARN TO
SHARE IT,
WE REALIZE HOW BIG AND PRECIOUS IT IS!................
Saturday, February 21, 2009
Ek tum kya mile.........
Ek tum kya mile jane kya ho gaya, Man hai khoya hua, ek nasha chha gaya. Dhadkano me chhupi ek aawaj hai, Is naye geet ka kaisa yeh saaz hai, Saans ki bhi bahut tej raftar hai, kuch na aaye samajh kaisa yeh raj hai, Zilmilata falak yeh mahakti fiza, Gungunate bhwar sansanati hawa, Jane kano me tumne yeh kya kah diya, Ab to dil ko sabhi kuch hai lagata naya, Teri baten hai jaise koi shayari, Tumne sikhi kahan se hai jadugari, Yeh tasawoor tera kitana haseen hai, Tu nahi hai magar lagta hai ki pass hai, Dil mera chain mera sabhi loot gaya, Aur dil ka makan jaise khali pada,!! Aur dil ka .....................................!! with love |
WO KHUBSURAT LAMHA.....................
Wo meri jindgi ka sabse khoobsurat lamha tha
Jo aaj bhi rah rah ke yaad aata hai muje
Jise na kabhi dekha ,na mili thi me
Us ajnabi ka har vo alfaaj yaad aata hai muje
Uski diwanagi me sari duniya ko bhul gayi thi main
Sare bandhan ,sab rasmo ko bhi todh gayi thi main
E mere ajnabi dost,kya bus vo pal do pal ka saath hi tha ?
Agar nahi to ab to itna muje sataao na tum
Tumhara vo anjaana sa chehara,aaj bhi yaad aata hai muje
Tumhara muje vo apni bahoon me bharna aaj bhi tadhpata hai muje
Tera vo pyar bhari najro se muje dekhna
Tera vo muskurana ,tera vo apne pyar ko jatlana
Teri vo har baat ,apni vo pahli mulakaat ,yaad aati hai muje
Jab kabhi bhi aahat si hoti hai ,lagta hai ke tum aagaye
Sari sari raat khuli aankho me nikal jati hai meri
Jab halki si aankh lagti hai ,tum sapno me aa jate ho
Aur kahte ho ,me aaraha hu……..sun kar man khush ho jata hai
Achanak jab aankh khulti hai ,to sach samne aata hai……….
Areee……ye to mera sapna tha …….
.................................................................................................................
Ek ek pal kat ta hai ab sadiyo k jesa
Ab to darvaje se hat ti nahi ankhiya
Betaab hai najre jane kesi uljhan hai..ab to aajaao saajna
Faslein ye kese hai darmiyan
Dil ko kuch pata hi na chala…………
Friday, February 20, 2009
Jindgi ye kis modh pe le aayi hai
Jindgi ye kis modh pe le aayi hai Meri jaan har pal mere sath hai ,phir bhi na jane kesi ye rut ayi hai Ye mera pahla valentine hai, phir bhi tanhai hai Samne mere pyar ka samundar hai Phir bhi pyar ki ek boond ko taraste hai hum Unke khushnuma hoton se pyar k do shabd sunne ko taraste hai hum Tu hi bata e jindgi, kis se shikwa kare hum Aankho me hai pyar bhara Hothon par unka hi naam hai Katra katra karta hai ibadat unki Har ek dhadhkan me chah unki Ab to bus tammana hai bus jane ki ,bahoon me unki Koi kahde unse E mere humsafar bus jara ek bar dekh tu pyar bhari najro se hume Tere gumo ko apnane k liye hi khuda ne humari hasti banayi hai , Jingi ye kis mod par le ayi hai with lots of love |
luv u forever
kya kahu,kese kahu aur kis se kahu ye jindgi ab tumhare bina adhuri si lagne lagi hai mere daman ko khushiyo ka nahi hai malal kyuki gum ka khajana ise beshumar mila hai aya jo khushnuma jindgi me ek tufan jo har ek rah par tinka tinka bikhar gaya vo to chala gaya par ab me kyu khamosh hu???? jindgi me phir se khushiyo ki bahar aayi jab khuda ne apne ek farishte ko bheja unke sath rah kar apne dukh bhul gayi thi main Pyar kya hai ?ye unhone muje sikhlaya hai Pyar ka har ek ahsaas unhi ne muje karaya hai Pyar kya hai ye to me nahi janti Par aaj vo hi mere bhagwan hai Dil ki har ek dhadhkan ,Dil ka ek armaan hai Mera dil sirf unhi ko chahta hai Vo Pyar hai mere ,Vo puja hai meri Vo ibadat hai meri ,Vo hi mere shrike kuran hai Vo geeta hai ,vo ramayan hai meri Har ek saans meri ,har ek aas meri bus unhi ka hi naam hai Vo hai to main khush hu ,vo hai to main hu Unke sath hu to duniya se bhi ladh lungi main Unke paas hu to bhagwan ka ahsaan hai ....... De jo ek mauka vo muje unke jivan me bhi khushiyo k rang bhar dungi main Unke har ek rishte se mujhko pyar hai Vo hi ab meri pahchan hai E khuda dena tu itni himmat muje de saku muskurahat main unhe kyuki ab vo hi mere bhagwan hai ................. e khuda mangti hu tujse bus yahi dua jab is duniya se hau main vida is tan ko mile kandha unka aur mang me sirf unhi k naam ka sindoor ho sada ....... Jab koi humse dur jata hai tab uski ahmiyat ka ahsaas hota hai... aapko gaye kuch hi pal huye hai.........ek ek pal nikalna mushkil ho raha hai ....... |
Thursday, February 19, 2009
Sabse chupa ke dard jo vo muskura diya
Sabse chupa ke dard jo vo muskura diya Uski hansi ne to aaj mujko rula diya lahje se uth raha tha har ek dard ka dhua chehara bata raha tha sab kuch gava diya aawaj me tharav tha aankhon me nami aur kah raha tha mene sab kuch bhula diya jane kya usko logo se thi shikayatein tanhaiyo ke desh me khud ko basa diya khud bhi humse bichad kar adhura ho gaya mujhko bhi itne logo me tanha bana diya ...... h ishwar is duniya me sacha pyar bahut kam milta hai , koshish karna pyar ki is paribhsha se judai shab hi juda hojaye .... aur pyar agar sacha ho to do juda dil mil jaye.......... |
Friday, February 13, 2009
Jabse in hathon ko kisi ne thama hai...........
Jabse in hathon ko kisi ne thama hai
zindagi jaise badal gayi hai
Jis khushi ke liye
hum tadapte rahen,
woh khushi hamein mil gayi hai
Hothon par unka hi naam rehta hai
aankhon mein usi ke khawab
dil jo bhi sawal karta hai
usi ki nazroon mein milta hai jawab
Us se mohabbat karke
jannat hamein naseeb hui
ab phir se gam humse dur hai
or har khushi hamare kareeb hai
Woh aankhon ko chumkar jab kehti hai
tum khuda se maangi hui meri dua ho
lagta hai dil ke har kone main jaise
usi ki mohababt ke rang bhare hue hai
With lots of Luv
dil se...
Apne dil ki baat hum unse kah nahi sakte
bin kahe bhi rah nahi sakte
E khuda aisi takdir bana ki kisi din wo khud aakar kahe
ki hum tumhare bina rah nahi sakte
dil se....
Apne dil ki baat hum unse kah nahi sakte
bin kahe bhi rah nahi sakte
E khuda aisi takdir bana ki kisi din wo khud aakar kahe
ki hum tumhare bina rah nahi sakte
Monday, February 9, 2009
WAQT NAHI .......
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein, Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein, Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai, Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke, Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain, Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee, Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua, Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude, Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein, Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......
"Always keep smiling and be happy. Life is too small to complain.
Spend time with your loved ones.
Life is too short, you never know when they will be gone and you may not even have the time to miss them"
Subscribe to:
Posts (Atom)